vishw ko bharat ki den

22
Vishwa ko bharat li den’’’’’’’ Aaj hum duniya ke samne yah satya rakhne ja rahe hain ki aakhir Gyan, neeti, vyavashtahaon ke star per humne duniya ko kya diya hai. Hum sabhi ko bachpan se sikhaya bataya jata hai ki bhaarat sabse jada pichada, akshichit desh raha hai. Humare paas Vigyan, takniki, rail kuch bhi nahi aata.Yah jhooth pichale kai saalon se duniya me bola ja raha hai ki bharat me kshiksha, vigyan, takniki, ganit, bhautik shashtr, trrasayan shashtra, kuch bhi nahi , bharat 1 parawlambi desh raha hai. Iski sabhyata aur sanskriti me kuch gaurav karne layak nahi aur jo kuch bhi gauraav karne laayak hai wo pakhand hai, Avaigyanik aur atarkik nahi. Yadi samany vyakti yah kahe to use kshama kiya ja sakta hai lekin bharat ke PM aisa kahe to akshmya hai, vartam PM ne London ke oxford hall me kaha ki jab Dr. ki manad upadhi di oxford university me – hum angrejon ke bahut shukragujar hain yadi wo nahi aate to hume na to takniki pata thi, na hi vigyan ka pata tha, na electricity milti na train, na koi krishi.arthvyavastha, rail, daak kuch nahi hota. 40 min tak wo ye gungaan karte rahe ki angrejon ka aana vardan tha, yadi angrej nahi aate to hum andhere me doobe rahte. Ab ye jo vartman PM ka byaan hai vaisa hi 1 st PM ne apani loksabha me diya ki yadi bharat ka angrejon se sanyong nahi hua hota to bharat humesha andhkar me dooba hua desh hi rahta. Isliye bharat ko vikas karana hai to angrejo jaisa banana hai , bharat ko aage bhadana hai to angrejon ke raste per hi usko le jana hai. Takriban isi tarah ki baat sabhi PM kahte rahe 2-3 ko chod kar. 1 PM jinhe bharat ki parampara, sabhyata, sanskriti per garv tha wo the Shri Lal Bahadur Shastri Ji. jab wo pahli baar PM bane to unhone bahut bada faisla liya jo samanyatah kisi pm ke sahas me nahi hota, faisla yah tha ki America se laal rang ka gehun aata tha jo janvar bhi nahi khate the. Shri Lal

Upload: pinakap

Post on 23-Oct-2015

2.711 views

Category:

Documents


5 download

DESCRIPTION

Vishw Ko Bharat Ki Den by Rajiv Dixit

TRANSCRIPT

Page 1: Vishw Ko Bharat Ki Den

Vishwa ko bharat li den’’’’’’’

Aaj hum duniya ke samne yah satya rakhne ja rahe hain ki aakhir Gyan, neeti, vyavashtahaon ke star per humne duniya ko kya diya hai.

Hum sabhi ko bachpan se sikhaya bataya jata hai ki bhaarat sabse jada pichada, akshichit desh raha hai. Humare paas Vigyan, takniki, rail kuch bhi nahi aata.Yah jhooth pichale kai saalon se duniya me bola ja raha hai ki bharat me kshiksha, vigyan, takniki, ganit, bhautik shashtr, trrasayan shashtra, kuch bhi nahi , bharat 1 parawlambi desh raha hai. Iski sabhyata aur sanskriti me kuch gaurav karne layak nahi aur jo kuch bhi gauraav karne laayak hai wo pakhand hai, Avaigyanik aur atarkik nahi.

Yadi samany vyakti yah kahe to use kshama kiya ja sakta hai lekin bharat ke PM aisa kahe to akshmya hai, vartam PM ne London ke oxford hall me kaha ki jab Dr. ki manad upadhi di oxford university me – hum angrejon ke bahut shukragujar hain yadi wo nahi aate to hume na to takniki pata thi, na hi vigyan ka pata tha, na electricity milti na train, na koi krishi.arthvyavastha, rail, daak kuch nahi hota. 40 min tak wo ye gungaan karte rahe ki angrejon ka aana vardan tha, yadi angrej nahi aate to hum andhere me doobe rahte. Ab ye jo vartman PM ka byaan hai vaisa hi 1st PM ne apani loksabha me diya ki yadi bharat ka angrejon se sanyong nahi hua hota to bharat humesha andhkar me dooba hua desh hi rahta. Isliye bharat ko vikas karana hai to angrejo jaisa banana hai , bharat ko aage bhadana hai to angrejon ke raste per hi usko le jana hai.

Takriban isi tarah ki baat sabhi PM kahte rahe 2-3 ko chod kar. 1 PM jinhe bharat ki parampara, sabhyata, sanskriti per garv tha wo the Shri Lal Bahadur Shastri Ji. jab wo pahli baar PM bane to unhone bahut bada faisla liya jo samanyatah kisi pm ke sahas me nahi hota, faisla yah tha ki America se laal rang ka gehun aata tha jo janvar bhi nahi khate the. Shri Lal Bahadur Shastri ji ne kaha ki hume yah gehun nahi lena hai kyonki yah apmaanjanak sharton per aata tha aur kharab hai aur wo lena band kar diya. Us samay gehun ka utpadan bahut kam tha aur is samay unhone yah faisala liya to kai logon ne unhe samjahaya ki, ki Shastri ji agar gehun nahi khayenge to bhookhon mar jayenge. Tab unhone bada hi kada bayan diya ki hume bhookha marana manjoor hai lekin apmanjanak sharton per ghatiya gehun khana manjoor nahi. Jab yah baat chal rahi thi to sansad me badi bahas hui thi us samay kai saansadon ne yah kaha ki agar ye America aur Europe ke desh nahi hote to hum kahin ke anhi hote. Tab Shastri ji ne phir 1 kadi baat kahi ki America aur Europe ke pas aisa kuch nahi hai jo wo hume de saken, hamare paas hi hai jo hum unhe de sakte hain .

1 aur PM the Shri Morarji desai wo bhi koot koot kar bhartuya sabhyata aur sanskriti se. wo 1 baat kaha karte the ki duniya me agar sabse jada gyan hai to bharat me hai , ye humara durbhagya hai ki hum us gyan ko vishw me pratisthapit karne me peeche rah gaye,. Isi tarah ke 1 PM rahe jo bahut kam dino ke liye lagbhag 4 mahine ke liye the. Wo kaha karte the ki yoonaan ki sabse purani sabhyata se purani humari sabhyata rahi hai. Europe ke paas job hi vigyan aur takneeki raha hai wo unse kahin pahle humare paas rah chukka hai isliye hume videshiyon se vigyan aur takniki lene ki zarurat nahi ahi. Zarurat padegi to hum de denge, lene layak unke paas kuch hai nahi. To aisi baaten kahne wale 2-3 Pm ko chod kar lagbhag sabhi

Page 2: Vishw Ko Bharat Ki Den

PM aisi mansiktaa wale hue ki bharat ke pas kabhi kuch nahi raha, hume kabhi kuch duniya ko diya nahi, humne humesha doosaron ke saamne haath pasaar kar bheekh maangi hai chahe wo gyan ho, paise hon ya takniki ho. Ye bahut bada bhram, mith hai. Yah bhram jitani jaldi toote is desh ke liye utana hi achcha hai. Is dristikon ke antargat mai aaj kuch baten aapke samne rakhana chahta hun jo humare is bhram ko poori tarah se tod dega aur hum garv se kahenge ki bharat ke pas hi wo sab kuch hai wo chahe wo gyan ke star per ho , vyavastha ke star per ya neetiyon ke star per

1) SABSE PAHLI BHASHA SANSKRIT AND LIPI BRHMI

Sabse pahli bat jo hum sari duniya ke samne garv se kah sakte hain aur sari duniya ne abhi use sweekar karna bhi shuru kar diya hai pichle 10-12 varshon se, khaskar jab se computer aaya tab se duniya ne kuch vastviktaon ko sweekar kar liya unme se 1 vastvikta yah ki sabse pahli bhasha aur sabse pahli lipi jo duniya ko di hai wo bharat ne hi di hai.

Sabse pahle Bhasha Sanskrit aur sabse pahli lipi devnagri hai, lekin bharat me kai aise itihaskar hue hain jinka aisa kahna hai ki devnagari lipi se bhi pahle humne 1 lipi duniya ko di hai jo aaj lupt ho gayi hai humari laparwahi ke karan aur wo lipi brahmi lipi rahi hai. Brahmi lipi ke bare me sari duniya ke vaigynaikon ne ye baat sweekar ki hai ki brahmi lipi utani hi purani hai jitna purana bharat hai. Lagbhag 1 arab 96 karor ~ 2 arab varsh purana humara yah brhmaand hai jisme bharat basta hai utani hi purani brahmi lipi hai. Ab samasya utpann yah ho gayi hai ki itani purani lipi ko padhne aur samjhne wale vaigyanikon ki sankhya abhi nahi hai. Bahut thode lipi vaigyanik rahe hain jo use padh kar samajh sakte hain.

Sari duniya ke vaigyanik mante hain ki duniya ko likhana agar kisi ne sikhya to wo bharat ne hi sikhaya hai kyonki bharat ke pahle likhane ki kala kisi desh ko nahi aati thi. Wo likhana humare yahan se china me gaya. China ke lipi-vaigyanik imandaari se sweekar karte hain ki cheen ke rishi, lipi vaigyanik bharat aaye aur yahan se lipi seekh kar wapas apane desh me jakar nayi lipi ka awishkar kiya. Ab agar bhasha humne di hai to yah bhi kaha ja sakta hai ki bolna bhi humne sikhaya poori duniya ko. Duniya ki sari vishist bhashayen, angreji ko chod kar, jaise germen, French, dutch, Italian, portguees, spenish, rusian, Denish. Angreji bhasha dusari bhashaon ki nakal hai isliye samany bhasha mani jati hai. Ye sari vishist bhashaon ke mool vaigyanik ye kahte hain ki humari sari bhashayen Sanskrit se nikli hain.

2) GERMANY ME BHARAT

Germeny ke log apane aapko garv se aarya kahte hai. Germeny ki sabse badi hawai seva ‘Luftansa’ hai jiska arth hai LUPT-HUNS usme se banaya gya hai luptahansa. Aaj germeny me vishvvidyalaya star ki kshiksha me Sanskrit ki padhaai aur Sanskrit ke granthon ki padhayi per sabse jada paisa kharch ho raha hai aur germeny duniya ka bharat ke bahar ka pahla aisa desh hai jisne apani 1 university saskrit sahitya ke liye samrpit kiya hua hai. Aur germeny duniya ka wo pahla desh hai jisne bharat ke bahar bharat ki vidya ko seekhane aur seekhane ki parampara shuru ki hai. Humare mahrishi CHARAK jinonhe chikitsa vyavastha ka sabse pahla sidhdhant aur vidyaaen sari duniya ko sikhayin unke naam per germeny ki sarkar

Page 3: Vishw Ko Bharat Ki Den

ne 1 vibhag banaya jiska naam hi hai CHARKOLOGY means chikitsa vibhag, ‘Logy’ angreji ka add karke.

Germeny ki sarkar sabse jada bhartiy vidyao ki khoj per sabse jada paisa kharch kar rahi hai. Angreji me use INDOLOGY kahte hain. Indology matlab bhartiya vidyayen. Bharatiy vidyaon per bharat ke bahar sabse jada shodh germeny me ho rahi hai aur germeny ke vaigyanik khte hain ki iska kaaran Sanskrit hai, kyonki Sanskrit sabse purani sabse pahli bhasha hai isliye sabse pahla aur sabse purana gyan bhi isi me hai aur wo gyan hume seekhana hai taki hum humare desh ko age basdha saken.

3) SANSKRIT KI VISHESHATA Sanskrit ke bare me 2-3 sabse mahtvypoorn baten jo duniya ke vaigyanik kahte hain wo

ye Sabse achchi baat yah ki computer ko chalane ke liye jis bhasha ka sabse achcha upyog ho sakta hai wo hai Sanskrit bhasha. Computer chalane ke liye kuch sidhdhant banaye jate hain jo algorithm kahte hain, jo algorithm sabse achchi bani hai aaj tak poori duniya me wo Sanskrit me hi bani hai. Aur thode din me Sanskrit ki wo algorithm sari duniya me cha jane wali hai sare vaigyanik is baat ko sweekar karte hain. Karan hai ki is bhasha me 2 cheezen bahut mahtv ki hain jo doosari bhasha me nahi milti. Pahli bhashai ki jo visheshata hai ki iska vyakaran ekdum pakka hai, laakho karonon varsh pahle mahrishi PARINI ne jo sootra hazaron sal pahle likhe wo aaj 21st century me bhi badalne ki zarurat nahi padi bhi utane hi sahi hai.

Sanskrit aisi vishist bhasha hai jiske vyakaran me ek comma tak ki ferbadal karne ki zarurat nahi padi aura age bhi hazaron sal tak aisa hi rahega. Isliye fransisyon, german logon ne jo apani bhasha banayi use Sanskrit ka aadhar diya. Saskrit me dhatu rup aur shabd rup hote hain, French bhashao me bhi hote hain.

56 aisi bhasha hain jinke shabd rup, dhatu rup Sanskrit jaise hain, janbhoojhkar kuch antar chode gaye hain antar karne ke liye. Dusari sabse badi baat bharat ki akeli vishist bhasha Sanskrit hai jisme sabse jada shabd bhandar hain kisi bhi any bhasha se.

Maharshi parini ke samay se ab tak yadi shabdon ki garana ki jaye jo humare beech me aaye hai boli, sahitya, shashtra ke madhyam se wo 102 arab 78 karor 50 lakh. Ab tak ho chukka hai aur itane hi aur shabdon ka istemal agale 100-200 varshon me ho chukka hoga. Jab Sanskrit computer ki bhasha ho jayegi tab itane hi aur shabd istemal ho chuke honge. Duniya me itane bade shabd bhandar kisi aur bhasha me hone asambhav hai. Bhasha ke vaigyanik ise anant bhandar kah sakte hain. Mahrishi parini ne jo Ashtadhyayai likha hai use 3 varsh me padh kar koi pandit ho sakta hai. Teesari Sabse badi baat yadi sabse kam shabdon me kahne ki kshamta keval Sanskrit me hai. Bade-se-badi baat sankep me sootra roop me samjhayi gayi hai

Kai vaigyanik mante hain ki bhashsa ke sare jhagade mit sakte hai yadi sab bhashaon ki lipi devnagari ho jaye. Ye takat sirf devnagari me hai jo sari bhashaon ko lipi badhdh kar sake.

4) BHARAT KE PUSTAKALYA

Jab bhasha samradhdh hoti hai to sahitya bhi samradhdh hota hai. Lekin wo dikhayi nahi deta kyonki pichale kuch hazar salon me hum apane sahitya ko bacha kar nahi rakh paye.

Page 4: Vishw Ko Bharat Ki Den

Videshi luteron me bharat ki sampatti hi nahi sahitya ko bhi loota. Kai videshion ne humare sahitya ko jala diya.

Bharat ki sabse badi pustakalaya TAKSHSHILA ko jala diya gaya tha. 6 mahine tak videshi akranton ne un kitabon ke panne jajal-2 kar apana pani garam kiya tha. Matlab lakhon karono page rahe honge.

Kai aakranta aise aaye jinhone humare sahitya me tod marorad kar aisa prastut kiya kiya ki wo sabse jada kharab dikhta hai. Jaise mool ved bahut mushkil se milte hain. Aaj ke samay me jo bhi prati milti hai wo maxmoolar rachit hai. Aur Max Muller bharat ke bare me janana to chahta tha per kabhi bharat aaya kabhi nahi. Usne ved to padhe uske liye sasnskrit bhi padhi per bahut si cheezen jo uski samajh me nahi aayin use apane samajh ke hisab se likh mara. Aaj isiliye hume virodhabhasi lagti hai kyonki mool granth ke sath ched-chad ki gayi hai. Ye virodhabas kisi b sahitya me dikhata hai jaise yadi hum mool Manusmriti ko padhe aur angrejon rachit Manusmriti ko paden to usme zamin-asman ka antar hai. Mool manusmriti me jo baat nahi likhi hai wo angrejon rachit me hai. YAGVALKYA sanhita me nyay siddhant ke bare me jo bate hain mool granth me angrejon builkul ulta likhwa di.

Humare shahshtron ki kai tarike se tod-marod hui. Unhe jalaya gaya, loota gaya aur jo sahitya vidheshion ke hath pad gaya usme apana dimag laga kar khurafaten bahut ki hain. Wo milavati baton ko aaj duniya me quote kiya jata hai. Jaise vedon me se 1 vakya nikal kar quote kar dete hain jaise bharatvasi maas khate the. Aise quotede diye jate hain aur neeche ved ya upnishad ka shlok likh diya jata hai.

Gyan humare pas duniya me sabse jada raha hai kyonki bharat ka matlab hi hai gyan me laga hua BHA-gyan, rat-laga hua. Lejkin us gyan me pichale hazar salon me bahut giravat aayi hai. Aaj humare samne bahut badi chunauti ka kaam hai, shodh ka kaam hai ki jo humare mool shahstra, granth, gyan ki baten rahin hain unhe punah khoj karke desh ke samne prastut kiya jaye. Taki ye milavat wala hissa dur ho sake aur hume shudhdh gan mil sake.

To duniya ko sabse jada gyan diya, sahitya di, sabse samradh bhasha di , sabse pahli lipi di aur logon ko prerit kiya ki log gyan ki disha me age bade. Isilye yahan jo videshi aayen hain wo bharat ke bare mre likhate rahe hain ki duniya bhar ke door-2 desh se log ate rahe aur padhte rahe, 1-2 ki sankhya me nahi balki hazaron ki sankhya me. 1 chini yatri ne vyensaang ne bharat ke bare me apani pustakon me likha hai ki jis samay mai bharat me ghoom raha hun, maine dekha ki 20000 se jada shodhkarta research scientist bharat me shodh kar rahe hain. aur vyensaang jaise saikaron chini yatri bharat me aaye hain alag-2 samay per. Koi kah raha hai ki main 14000 shodh vaigyanikon ko bharat me padhte,likhte dekha , koi 11000 kahta hai koi 12000. 1 hi samay me jahan 20000 log shodh kar rahe hon aur us gyan ko apane desh me le jane ki taiyari kar rahe hon, yah koi choti baat nahi hai. Ye tab ho sakta hai jab humare yahan aisa koi tantra raha ho.

5) MONITORIAL EDUCATION SYSTEM (BHARAT KE GURUKUL)

Page 5: Vishw Ko Bharat Ki Den

Ab aage badhte hain ki humne duniya ko aur kya diya bhasha, sahitya ke alawa.. humne kshiksha padhdhati di hai puri duniya ko. Angrejio me 1 shabd hota hai MONITOR. Kasha ka nta, nayak, leader.

Humari kshishak padhdhati me kya raha jo duniya me nahi tha aur duniya ne humse sikhi. 1 anrej kshisha shashtri hua jiska nam tha Dr. Benjamin frekline aur 1 aur Shishak shashtri jo bharat me baad me 1 bada adhikari banker aya Thomas munaro. Ye dono apani kitabon me likh rahe hain ki monitorial education system (kaksha nayak ke dwara padhai jane wali shiksha ki vyavastha ) puri duniya me ekmatra 1 hi desh me hai aur wo bharat me hai. MES me 1 guru/acharya hai jisne 1 kaksha nayak tayiyar kiya acharya ke samkksh aur kaksha lena shuru kar diya. To angrej shiksha shashtri hairan hian is bat per ki 1-1 class me 1-1 nayak tayiyar kiya aacharya ne aur aacharya akela pure gurukul ko sambhal sakta hai wahan dusare adhyapakon ki bhi zarurat nahi hai kyonki wahan kaksha nayak adhyapakon ki haisiyat ke hain.

Ab angrej (tomas and bejamin) likhte hain apane minutes me ki duniya me hum soch nahi sakte, hum to kalpana karte hain ki 1 bada vishwidyala , college ya school chalana hai to usme 1 principal chahiye, kai adhyapak chahiye phir adhyapak ke neeche assistant teacher chahiye. Tab jakar wo chalega. Per yahan hum yahan bharat me dekh rahe hain ki 1 vishwadyala 1 guru/acharya se itna vyavasthit chal raha hai kyonki acharya ne apane barabar gyan wale kasha nayakon ko tayiyar kar diya hai, ab adyapak bhi wahi hain aur kasha nayak bhi wohi hain. Ab vidyarthiyon ka fayada isme yah hai ki jo kuch unhone achary se seekha hai wo bar-2 dohrane ko mil raha hai, kyonki kaksha me dusaron ko sikha rahe hain. Aur gyan ke bare me 1 baat hai ki jitna dohrav aap karenge wo utana hi pakka hota jata hai.

Ab ye dono angrej likhte hain ki humne dekha ki bharat ke gurukalon me vidyarthi acharya ki haisiyat se pada rahe hain. Pakke hote ja rahe hain aur naye kaksha nayak tayiyar kartte ja rahe hain. To itana bada vishwidyala 1 guru ke adesh per itane vyavasthit tarike se chal raha hai aur kharcha wahan sabse kam hai kyonki adhyapakon ki wahan zarurat nahi , tab wo apane patra me angrej sarkar koo likhta hai ki hume oxford vishwvidyalay me, Cambridge vishwidyala me isi tarah ka monotorial education system shuru karna chahiye jo bhaarat me humne dekha hai. Agar sarkar kahegi to mai pure vistar se is per note bana kar bhej sakta hun ki ye monitorial educatin system kitna adbhut hai aur usme aage wo 1 wakya me likhta hai ki ‘monitorial education system to kya bhrat ka to pura education system hi adbhut hai’. Aur uski visheshata kah raha hai. sun kar hairani hogi ki jab England me pahla school khula 1868 me us samay bharat me 732000 gurukul hazaron varshon se chal rahe the.

Angrejon ka pahla school khula 1868 me London me. Public school act banaya unhone uske baad school shuru hua. Uske hazaron sal pahle se hazaron gurukul yahan chal rahe hain aur kai vishyon ki padhayi usme ho rahi hai. Angrej is bat ko apas me kahte hain ki humne to shiksha ka itana sundar tantra duniya ke kisi bhi desh me nahi dekha, angrej bharat me ane se pahle duniya ke 50 deshon me ho aaye the, bharat me to sabse baad me aaye. Africa, letin America, south east ashia ke kai desh, ant me yahan aaye.

To shiksha ki sari ki sari vyavastha, aur neetiyon ke star per den duniya ko rahi hai to bharat ki rahi hai. Ab hum yah garv se kah sakte hain ki duniya ka pahla koi shikshak raha hoga to koi bhartiya mahrishi raha hoga , aur duniya koi koi pahla vidyarthi, kasha nayak raha hoga to wo bhartiya raha hoga.

Page 6: Vishw Ko Bharat Ki Den

6) CHIKITSA VYAVASTHAAb aage badte hain ki humne duniya ko aur kya -2 diya hai. Bharat ki shiksha

vyavastha ke jaisi hi 1 aur sundar vyavastha humne duniya ko di hai wo hai chikitsa vyavastha. Iske bare me duniya bahut se vaigyanik ab ye sweekar karne lage hain ki yah to bhartiy gyan hai. 300 sal pahle wonahi mante the, aaj manane lage hain.

Duniya ko jo humne sundar chikitsa yavastha di hai wo ayurvedic chikitsa vyavastha hai . jisme aushadhiyon ke adhar per aapka ilaaz hota hai aur surgery bhi hoti hai. Duniya me surgery ke kshetra me kaha jata h ai ki England ne sabko surgery sikhayi. Lekin England ke logon ne jo surgery seekhi hai wo bharat se seekhi hai.

England me 1 doctor hua karta tha 17 shatabdi me, Dr. Hall Card bharat aya aur uski diary ke sare ke sare panne is bat ke gawah hain ki wo yahan aakar madras me surgery sikha. Aur surgery seekh kar wo wapas gaya 1795 me aur London me ‘fellow of the royal society’ ki sthapana karne wale pahle doctaron me uski ginati hoti hai . aur wo ye bar-2 kahta hai ki maine ye vudya bharat se sikhi hai lekin angrejon ne unke shuru wale waky ko daba diya.aur sirf itana pracharit kiya ki maine ye vidya Europe ko sikhayi hai

Shushrut sanhita me 125 yantra/upkaran us samay awishkar ho chuke the. Uske baad kitne hue honge uska andaza lagaya ja sakta hai. Aawishkaar kiye gaye the 125 yantra kyonki ye first time kiye gaye. Hansi ki baat ye hai ki jitney yantra de diye, modern surgery aaj bhi utane hi instrument istemalk kiye ja rahe hain. Unke upkarano me thoda bahut sanshodhan karke naye upkaran banaaye gaye hain.

Haldi, methi, palak,tulsi, amla , alovera ke aushdiy gun bharat ne banaya. Anaar,palak ka juice se khoon badta hai, methi kaf,vaat nashak hai yah gyan humne diya. Masala farsi-urdu ka shabd hai. Haldi,jeera,methi masala nahi aushdhi hai. Duniya ko rasoi ghar ki audhdhiyon ka gyan Hindustan ne diya. Ilayachi, jeera, ka upyog ky ahai wo humane diya. Maharshi charak ne diya.

Maharshi Vaagbhatt ji ne 3 sootra bataaye khaana kaise khana hai , pani kaise peena hai, chalana, sona kaise hai . yah sab ‘Ashtang Hridyam’, ‘Astang Sangraham’ me diye hain. Usme likha hai ki ‘bhojan ko banate samay lagatar soorya ka prakash aur pawan ka sparsh milana chahiye. ’ tabhi wo bhojan karne layak hai aur amrit tulya hai.Aaj saare vaigyanik is ki gahrayi pakadne me lage hai, ab is bat ko mante hai I yadi ye dno cheezen na mile to bhojan zahar ke saman hota hain.

Vaigyanikon ki khoj hai preshar cooker. Isme ye dono sparsh nahi hota. 3 nishkarsh per diabeteas, arthritis, heart attack ki sambhavana hai. Isme poori poshakta nahi milti. Cookar me daal pakta nahi tootata hai. Daal ka pakana matlab uske andar majud sookshm poshak tatv khane layak ho gaye hain lekin pani aur hawa ke dabav ke karan wo toot jati hai. Dadi-naani mitti ki handiya me daal aadha khol kar pakati thi, pawan ka sparsh karati

Page 7: Vishw Ko Bharat Ki Den

thin, radio khile aakash me hota tha. Purane 500sal se jada purane gaon me kitchen aangan me hi hota tha. Us dal ki pakane me samay lagta hai wo lagna hi chahiye.

Maharshi baradwaj ka 1 sootra hai, jo vastu khet me jitni der me pakti hai wo bhojan me bhi utani der me hi pakegi. Daal der me pake to hi swad aur paushtikta degi.

Humare ashtang hridyam ya ashtang sangrahm me 1 adhyaah hota hai– swasht vrath aur 1 abhyas/adhyah hota hai ushapan ka. Usme 1 sootra hai subha pani peene ka. Jaapan me sabse jada shodh hota tha. Ushapan ke do bade laabh hai. Muh ka laar alkenine, kshhaariy hoti hai. Subah subah per me sabse jada aml tayiyaar hota hia. Subah ki laar pet me jani chahiye. Jinke pet ka aml shant hai unke pet me aml nahi badhega aur unhe rakt ki saikadon bimariyan nahi hongi. Dusara fayada. Pani badi aant me pahunch kar safai ki jaldi fresh ho gaye. Jo log sabse jada swash hote hain wo sabse kam time lete hain.

Japaniyon ne 40 sal arbon dollor foonk diye. Paani baith ke sip-2 peene ka , thanda pani na pine ke chote-2 sootr diye hain. Yadi humne ye sari duniya me trtisthapit kiya hot a to hum vishw vijay kar chuke hote. Isko mane mana hi nahi.

Jab dosare hazaron dollor funkate hain tab hum yah mante hain ki wakayi ye humare liye garv ki baat hai. Germeny and japan ne pani ki chikitsa and swasth vrat ke chote-2 sootron per hazaaron-laakhon dollor kharch kar ke jo nishkarsh ab paaye hain wo hamare pass hazaron salon se hian

Allopathy 200-250 sal purani chikitsahai, usne 1 hi cheez di hai diniya ko wo hai dard se ladna, usme me poori tarah se kamyab nahi hai. Cancer ke dard me sampoorn safalata nahi mil payi hai. America ka 1 george Washington president ki kahani – 1st president bana, angrejon ka gulam tha. 1776 me aazadi mili aur wo 1st bana. Wo bimar ho gaya. Wahan soorya ka prakash nahi hota, viral, bacteria wahan jada hote hain isliye antiviral sabse jada unhone khoji. Baicteraial infection – anti bacterial medicine bhi unhone hi banayi.

Wasington ko bukhar aa gaya. Sare duniya ke chikitsak pareshan ho gaye unka bukhar kam karne ke liye. Finally wo is nishkarsh per pahunche ki unka khoon kharab ho gaya hai un mahanbhuo me rashtrapati ke hath-pav baandh diye, unki nasen kaat di blade se. tark hai ki kharab khoon nikalana hain sabere george mar gaya. Raat bhar khoon nikalta raha. Us samy bharat me bade se bade bukhar me neem ki giloy ka kadha pila kar theek kiya jata tha. Aisi saikadon anti-pyretic ya bukhar todak ceezen hamare paas hain. Unme se sabse aasan , sabse uplabdh giloy,neem ka kadha hai jisase bade se bada bukhar thik ho jata tha.

Humare pas 1 nahi hazaron lakhon cheezen hai batane ko. Yunani padhdhti jo viksit hui hai uske janae wale imandari se mante hain ki humne sab Sanskrit, ayurved se seekha hai. Chark, vagbhatt, bhavprakash nighantu se seekha hai. Aushadhi banana ke tarike wahi hai bas unan ki aabo-hawa jalvayu ke hisab se thode fer badal kiye hain baki sab wohi hai.

Doosari sabse badi chikitsa Yunani ayurved se nikli hai. 1 angrejo ke dastavej ke anusar plastic surgery ka awishkar bhi bharat me hua hai. 1780 me soth bharat ka mahaan vyakti jisne baharat ki samprabhuta, ki rakha me jeevan laga diya haider ali. Unka raaj 1780 se 1784 unka raj raha, angerjo ne kai baar hamle kiya 1 hamle ka zikra un dastavej me

Page 8: Vishw Ko Bharat Ki Den

mmilta hai. 1 angerjo ka afsar tha karnal koot usne haider ali per hamla kiya 1780 me usme angrej prast hue. Jab jab Hyder Ali per hamla kiya 1 baar bhi nahi jeet paye. Ha ke upper bar-2 hame se ha gusaa ho gaya usme karnal koot ki naak kaat di. Bharat me naak katna sabse jada apmanjank hai. Garden kaat sakta tha lekin naak kaati. Aur phir chod diya ki jao ab. Wo likhta hai ki 1 ghoda de diya bhagane ko, bhagte-2 belgaon aa gaya. 1 vaidya ne dekha khoon se lathpath naak, usne poocha to angrej bona pthar mar diya. Vaid bola ye paththar nahi talwar se kati hui naak hia. Main vaidya hun, kisne kati Hyder Ali ne kati. Vaidya poocha kati naak se London jaoge. Us vaidya na kaha mai jod sakta hun. Ghar le gaye aur operation kiya uska 30 panno me varna n hai. 1 lep diya subah-sham lagane ko. 3 mahine baad parliyament me bhaashan diya aur poocha ki kya meri naak kati hai? Sabne kaha nahi . un vaidya ji ki khoj khabar li gayi, un vaidya ji ne kaha aise hazaron log karte hai, sab gaon me hota hai. Mai akela nahi hun. Hamare gurukul chalet hain wahan angrejon ne admission liya, seekha. Jin-2 ne seekhi hai unki diary me – jis guru se sikha wo vishesh aadmi jati ka naayi tha. Ye log hamare yahan gyan ke bade bhandar the, charmkaron ko bhi gurukul me padhane ke anumati thi, charmkar chamada jada achah sil sakta hai. Seekhane ke baad mujhse operation karwaya. 1 martha sainik in 1792 uske dono hath udhd me kat gaye. Guru ne wo operation uske sath mil kar kiya us angrej ka nam hai dr. tomas crooso. Mere jeven me itana bada gyan 1 guru se seekha usne 1 paisa fees nahi li. Tomas Crooso ne Plastic Sergery ka school khola, angraj seekh kar sari duniya me failaya.

Viswa granthon me operation k to varana hai per vaidsyon ka nahi. Jab 17 se 19 shatabdi me yah sara kaam chal raha tha, granthalya ban rahe the hum us samay angrejon ke gulam the isliye wahan tak pahunch nahi paye, sari duniya me apane dwara ki gayi khojo [per patent lena padega aur poore duniya me sthapit karne ke liye BST se achcha plateform nahi mileg.

1710 me 1 angrej bharat aya dr. Oliver ye bharat ke culcatta me aaya, ghomte hue diary likhi- maine bharat me aakar pahli baar dekha chechak jaisi mahamari bharat wasi kitni asani se thik kar lete hain. 17th shatabdi me sari duniya me chechak mahamari faili thi badi and choti chechak. Afrika, letin America, ashiya me laakho-larino mare the. Us dauran Dr. Oliver ne likha, bharat wasi chechak ke liye teeka lagaate hai wo pahli baar dekha, apani diary me warna kiya hai – bharat me duniya se chechak abse kam hai pata chala sabne teeka lagwa rakha hai , is teeke ko sooi jaii patli vastu se lagaya jata tha jo 3 din me sharer me pratirodhak shakti paida kar deta tha, 3 din teeka se thoda bukhar hota tha. Uske liye pani ki patti pet para raha jata tha .aur phir kabhi nahi hota tha.

Angrejo ne bharat se seekha. Dr. Oliver ne 1 goshthi bulai – apane kharche per sab ko lekar aaya aur sabko ghar-2 me dikhaya. Poocha ki isme kya hai – tab vaidyon ne bataya ki jisko chechak ho jati hai uske sharer ke pas/mavad nikal kar sui ke nok ke barabar kisi ke sharer me pravesh kara dete hai aur sharer immunity develop kar leta hai.

Teeke ke peeche ka darshan- jis beemari se ladna chahte hai us ke jeevanu sharer me pravesh karate hai taki sharer immunity develop kar le, ye sidhdhant bharat ne diya, bas sab sari duniya me is sidhdhant ka panji lkaran ho raha tha tab hum upashtit nahi the. Dr. Oliver ke naam se darz hai. Dr. Oliver apani diary me likha maine calcatta me

Page 9: Vishw Ko Bharat Ki Den

sikha. Ye jo vaidya hain unse poocha ki aapko kisne bataya , unke guru ne to uska kahna hai kam se kam 1500 sal se kam ka itihas nahi niklega bharat ke chehcak ke teeke ka. Ye log samman ke paatra hai jo bina kisi shulk ke ghar-2 jate hai hai aur logon o is beemari se bachate hain aur hume in vaidyon ka aabhari hona chahiye ki ye gyan inlogon ne hame nishulk diya per ye panne uski diary ka hissa gayab karke apane naam se karwate hain.

7) BHARAT ME TAKNIKI

loha banaane ki technik, steel banana ki tecnik bharat ne diya. Duniya me sabse pahle bharat ne banaya. Iron ore se stell banana aasan kaam nahi hai. 1 angrej aaaya 1795 me uske sarvekshan ke anusar – baharat me steel me banaane ka kaam 1500 sal se ho raha hai. Yani ki 1800we shatabdi se 1500 nikal den to Jesus ke janam ke 300 sal ke bad se bharat me 3re shatabdi se steel ban raha hai. West bharat, MP, east, bihar, south in ilakon me ghooma tab 15000 choti factory steel banana ki bharat me chal rahi thi. Har factory me 500 kg tak steel banta hai, hur factory 24 ghante chalti hai. Majdooron ki 3 paaliyan hai 8-8 ghante ki.

Iska sabse zaruri hissa loha galane ki bhatti hai jise hum blast furnance kahte hain. BF me kachcha loha dala jata hai aur tapman badhaya jata hai jab tapman 1500-1600 degree pahuchta hai tab loha pani ki tarah pighalata hai phir nikal kar thanda kiya jata hai phir nikil,cromium jaisi cheezen dal kar steel banaya jata hai.sabse matvpoora upkaran. Usne hisab lagaya ki bharat ki kisi bhi factory ke blast furnance banana ka kharcha sirf 15rs aata hai. Aur ye 15rs 1795 me hai, aaj ke din me 15*300= 4500 me aaj ban jayegi. 1 blast furnance 1 din me 1 ton steel bana leti hai. 1 ton steel banana me bharat ke karigar ka kharcha 80rs. 1 ton =1000 kg steel banana ka kharch 80 rs to 1kg steel ka kharch 80 paise.is samay 1kg steel = 40 rs. 1795 me bhartiye padhahti se banana wala steel 80paise/kg .aaj nayi taknik ke baad bhi 40rs padta hai. Kaun si taknik super thi.

uske desh me 10 ghante lagaati hain steel banana me, sabhi 15000 factories me 1 din me steel 7500metric ton loha banta hai aur 1 sal me 27.5 lakh meetrik ton loha tayitra hota hai. Is steel ki sariya ban kar bharat se Europe me bikne jate hai, bharat ka stell videshon me premium price per bikta hai mane sabse mangi price per kyonki duniya ka koi steel tharta nahi. Ant me likha bharat ka steel jab Europe me bikta hai to yadi bharat ke vyapari sone ki maang kare to bhi log sona dene ko tayiyar rahte hain kyonki us quality ka steel koi nahi bana saka. Bharat ka steel itana adbhut hai jisme jang nahi lagta, hazaron sal se prampara hai bharat me. Mahroli me 1 lauh stambh hai , saikaron saal se haa,pani me khara hai per usme 1 inch bhi jang nahi laga hai.

Usne aage likha ki Bharat ke baad yadi koi achcha lsteel bana sakta hai to wo Sweden hai per Sweden me steel ka laagat bharat se 100 guna mahngi hai. Hum 80 rs = 1ton jabki bharat me jabki 8000rs Sweden me hai. Wo khta hai ki bharat ko apani is taknik per garv hone ki zarrurat hai, Blast Furnance itani halki hai ki baigadi me rakh kar kahin bhi le jayi ja sakti hain jab ki europ ki Blast Furnance sthayi hain, ukhadkar nahi le ja sakte. Phir usne likha ki bharat wasiyon ko kitna gyan hai ki sadharan si bhatti me 1500 degree

Page 10: Vishw Ko Bharat Ki Den

tapman paida kar lete hain, wo bhi tab jab bijli nahi thi. Iska 1 karan ye tha ki bharat me sabse achche kism ka loha aur koyala milta hai.

Is angrej ne briten me jakar metllergy ka school khola aur itihas me ye usi ke naam se darj ho gaya lekin usne bharat se seekha, ye darz hona baki hai.

8) SABSE PAHLA AEROPLANE

Sari duniya me is samy puchu ki sabse pahla hawai jahaj kisne banaya to jawab hoga - 17dec 1903 america ke south Carolina ke tat per Write Brothers ne banaya jo 120 ft uda aur gir gaya. Per abhi dastavej mile hain ki kai saal pahle 1895 me hamare desh ke viman vaigyanik ne Mumbai ke chupati ke kinare udaya jo ki 1500 ft tak gaya aur gir gaya. Us bharatiya vaigyanik ka naam tha shivkar bapuji talpade jo ki Mumbai ke cheerabazar me janam hua aur guru ke saanidhy me Sanskrit shashtron ka adhyyan kiya. Unki ruchi paida ho gayi vimanshahstra me. Hamare desh me viman shahstra ke sabse ade vaigyanik Maharshi Bharadwaj mane jate hain. Maharishi Bhardwaj ne viman shashtra ki sabse pahle book likhi. Bharat me uplabdh pustak 1500 sal purani hai. Maharishi Bharadwaj to uske bhi bahut pahle hue hain. Bapuji talpade ke hath yah book lag gayi is pustak ke bare me kuch rocha baaten kahi.

Unhonne kaha is pustak ke 8 adhyaayon me viman banaane ki takneeki ka hi varan hai. 8 adhyaya me 100 khand hain jinme viman banana ki tech ka varanan hai, Maharishi Bharadwaj ne apani poori pustak me viman banane ki 500 sidhant likhe hain. Aur likhte hain ki ye 500 sidhdhanto ke 3000 shlok hain vimanshashtra me.

Maharishi Bharadwaj ne 32 prakriyaon ka varanan kiya hai. 32 tarike se 500 tarah ke viman banaye ja sakte hain. Us viman ko dekhane bade-2 log gaye. Us samay ke 1 bade vyakti Mahadev Govind Ranade jo ki angreji nyay vyavashtaha me judge the, maharaja gayakwad ke samane viman udaya, us viman ko udaya bina chalak ke, 1500 ft tak le gaye aur sakushal utar liya. Maharaja gayakwad ne zaagir dene ki ghoshada ki. Talpade ji ne kaha mai aise kai viman bana sakta hun lekin paison ki kami hai. Logon ne dil kholkar paise diye tabhi unke sath dhokha ho gaya, angrejon ki 1 company wahan aayi rally brothers unke pas aaye aur bole ye jo viman aapne banaya hai uski drawing de dijiye, humari company aapko sahayata degi. Rally brothers yah sab lekar british le gaye wahan se America pahunch gayi aur Write Brothers ki ho gayi.

Americans/ british ko siva chalaki ke kuch nahi aata. Jis kisi ka bhi kuch naya mile use le lo aur apane saam se pracharit kar do. Ye hum sab hindostaniyon kip rob hain ki unhe chalaki nahi aati.

Wright brothers se 8 saal pahle bharat me viman ban chukka tha ab is baat ke liye ladna hai ki wo ab humare naam hi darz honi chahiye aur rally brothers per mukadma chalna chahiye ki unhone jo samjauta karne ke baad beimani ki. Baad me bapuji talpade ji ki mrityu ho gai. Unki to mritu ke bare me bhi shanka hai, unki hatya ki gai aur darj kar di gai ki mritu ho gayi. Aisa vyakti ki hatya hona badi swabhavik hai jiske naam itana bada awishkar hai.

Ab yah kaam BST ka hai ki wo is kaam ko apane hath me len aur sari duniya me ye pramadit Karen ki 1903 se 8 sal pahle kisi bharatwasi ne viman banaya.

Page 11: Vishw Ko Bharat Ki Den

9) BHARAT KA KHAGOL VIGYAN

Hum Khagole Shashtra ke bare me koi bhi gyan paate hai chahe ho grah ho, upgrah ho, saur mandal ho, 2 hi naam hum jante hai Copernicus & gaililio. Prathvi, surya ke beech koi doori hai, pridhvi surya ke beech koi aakarshan hai, baaki grahon ke beech koi aakarshan hai ye sara gyan hum 2 hi logon ken am se padte hain

Galiliyo- prathivi soorya ke charon or chakkar lagati hai, sapani dhoori per chakkar lagati hai. Ab sah baat nikal kar samne aa rahi hai ki jab ye dono paida bhi nahi hue the usse bhi hazaron saal pahle 1 mahrshi the Arya Bhatt unhone sabse pahle duniya ko bataya ki saur mandal me sooraj sthir aur sthit hai aur prithvi sthir nahi hai wo soorya ke charon or chakkar lagati hai. Unhone kuch sootra diye jiske aadhar per prithvi aur surya ke beeh ki doori nikali gayi. Aur aap hairan ho jayenge ki Arya Bhatt ne jo doori nikal ke de di us doori ko aaj tak duniya ka koi khagol shahstri chunauti nahi de payi.

3 bat jo batayi wo yah ki soorya nirapad nahi hai isme bahut sare kale dhabbe hain. ye ji kale dhabbe ki theory hai usko Stephan hawkings naam ke vaigyanik ne apane naam se likhwa li hai aur apane naam ese patent karwa liya hai, jise BLACK HOLE theory kaha jata hai. Kale viver hai soorya me yahi uske jeevan ka kaaran hai, yah baat Arya Bhatt ne hazaron sal pahle bata di thi. Iske baad 1 aur mahtv ki baat batayi. Wo ye ki hauamar jo soorya hai aur jo baaki grahon ki sthiti hai , to sare grah soorya ke prakash se prakashit hain, unke pas apana koi prakash nahi hai. Isse bhi gahri baat Arya Bhatt ne pata nahi kaise hazaron saal pahle koi doorbin banaayi hogai varna yah sambhav nahi hai.

Mahrishi Bhatt ne bataya ka Shani ke 5 upagrah hai,poori duniya ko pata chala. thode dino baad unhone apani baat ko sanshodhit karte hue kaha kai shani ke 5 nahi 7 upagrah hain. Ginkar bataaye unhone. Aaj ke vaigyanik 8th nahi khoj paye kyonki 8th hai hi nahi. Ab 8 upgrah khoj lena kaise possible hai, sambhav hi nahi hai bina doorbin ke , to yah sabit ho jata hai ki unhone doorbin banayi hogi.

Maharishi Bhatt ne 1 book likhi uska naam hai VRAHAT SANHITA aur arybhatt sanhita. Inme hazaaron-hazaar shlok hain sooraj ke bare me chandrama ke bare me aur grahon ke sooraj se antar sambandhon ke bare me, aur aap jante hain sabse pahle soorya graham ke bare me thik-2 garnaayen sabse pahle mahrshi aaryabhatt ne ki. Uske aadhar per panchaag viksit hua.

Maharishi Bhatt ne jab baariki se sare grahon ka adhyayan kiya ki pradhvi sooraj ke charon or ghoom rahi hai apani dhuri per bhi ghoom rahia hai aur apani dhoori per ghoomane ke kaaran rat-din ho rahe hain samay badal raha hai. Din –rat ho raha hai to kitane ghante ka. Ye karte-e 7 din nirdharit kar diye. Aaj tak duniya 8th din nahi khoj paayi.

Koi Christian, muslim, kisi bhi sampraday ka ho to wo inhi 7 dino ko manata hai bas apani bhasha me bhashantar kar diya hai. Unaan ki , mesopotamiya, bebyloniyan ki sabhyata ne yahi sweekar kiya. Ye bharat ki din hai sari duniya ko. Jitna humne khoj kar bata diya sari duniya wahin per ruki hui hai abhi tak.

Page 12: Vishw Ko Bharat Ki Den

10) GANIT (MATHS) KE KSHETRA ME BHARAT

Ganit me trikonmiti maharshi aarybhatt ki khoj hai. Unhone sabse pahle duniya ko diya hai. Isi ko aadhar banaakar sari duniya me nirman kaarya chalet hain.

Isis tarah 1 mahaan maharshi hue BHASKARAACHARY unhone ganit ki sabse pahli pustak likhi LEELAVATI. Leelavathi mahrshi bhaskaracharya ki beti thi, unhone beti ko jo bhi sikhate the wo likh liya karte the. Wo beti itani kushagr budhdhi thi kip ed ke patte gin liya karti thi. Aur jab bhi unhe patte gignane ko kaha gaya to utane hi patte nikalte the, jitney hote the. Leelavati isme sidhdh hast thi. Duniya ke bahut se deshon ne apana syllabus leeleavati ke aadhar per banaya hai.

Aise hi 1 mahan ganitagy hue hai mahrshi Brahmgupt. Inhone duniya ko sabse pahle ankganit ke 4 bhaag jodana,ghataa, bhaag dena. Iske liye shahstr nirman kiya. Varg, vargmool, ghan, ghanmool bhi inhi ki den hai.Beejganit poora ka poora Maharishi Brahmgupt ki den hai. Aaj ka algebra poori tarah se Maharishi Brahmgupt ke pustak per aadharit hai.

Isi tarah se 1 pramey theorem hoti hai jo hum 9, 10 se 12 tak padte hai. Jise hum Pythagoras pramy kahte hai, Pythagoras ka janam hua eesa se 8 shatabdi pahle aur eesa ke 15wi shatabdi pahale ke gurukolon ke record batate hai ki hum use bodhayan pramy kahte the . bodhayan 1 rishi the . aaj se lagbag 3500 saal pahle bharat me padhai jaati thi karn2=lamb2+aadhar2. ye jo hum padte hain bodhayan mahrshi ki den hai.

Isi tarah morden mathmatics me binomial theorem (dwipad pramey) yah sabse pahle bhart ne sari duniya ko di aur ye binomial theorem bhi Arya Bhatt ki den hai.Bharat ke morden mathmetics me 1 vishay hai jise calculas kahte hain uske 2 hisse hain Integral calculas and Differencial calculas. Ye integral calculas sabse pahle bharat me mahrishi MADHAVACHARY aur differential calculas jin mahrishi ne sikhaya unka naam tha Bhaskaracharya. Differencial calculas ka aaj ka poora syllabus bhaskarachary ji ki pustak yadi samne rakh len to samajh me aa jata hai.

Aur madhavacharya ji ki pustak dekhkar integral padhi bilkul saaf samaj aa hjata hai. Ganit me sabsee jada shodh hua hai to bharat me hua hai, dusare no per yadhi jo shodh hue hai wo French log hain fransisi log sweekar karte hai ki yadi humne ya duniya se jo ganit seekha hai wo bharat se sikha hai. Ganit ki jo mool baat hai 0,1,2,3,4 … number system ye bharat ki den hai.jo ank dega wohi ganit sikhayega.

Kuch ganit ke sootra to aise hain jinhe vaidik ganit kahte hain un 17 sootro ko yadi koi seekh lega to computer se tej calculate kar sakta hai . Humare bharat me kshikha ki jo sabse gahri baat hai wo ye ki kshiksha ko raspoorn bana kar sikhana. Ghar me chote bachcho ko ye sootra awashy sikhane chahiye.

11) RASAYAN SHASHTRA ME BHARAT KA YOGDAN

Page 13: Vishw Ko Bharat Ki Den

Sari duniya ko sabse pahle barf banana sikhaya. Jabki bharat me sabse kam barf hota hai. Aur uski taknik bhi duniya ko humne di hai. 1 mahaan raja hua hai Harshwardhan,

Harshwardhan – wo vaigyanik tha aur raja hua , aur chakravarti raja hua. 1 gaon ka raja – sarpanch. 10 gaon ka raja – Nayak. 100 gaon = samant, 1000 gaon –

raja .10000- maharaja, 1 lakh – samrat, 7 lakh gaon – chakravarti samrat. Bharat me lagbhag 7lakh hi gaon hue, aur H poore bharat ka raja tha. Chemistry ka gyata tha. Jab wo raja bana. Uski beti beemar ho gayi, usko bukhaar aa gaya to sabse pahle usne barf banwayi aur beti ka bukhar utarane ke liye uska istemal kiya. Harsh-charitram karke 1 pustak likhi gai isme vistar se varan hai ki raja ne bukhar utarane ke liye baf ka pryog kiya, uski poori takniki di gayi hai. Harshwardhan 6th shatabdi ka raja tha aaj se lagbhag 1500 sal pahle. Angrejo, amerikiyon key aha barf padti hai lekin wo barf banana 18th shatabdi tak nahi jante the. Barf banaane ke liye pani ko 1 vishesh tapman aur dabav per rakha jata hai.

Ab humko ye stapit karana baki hai ki bharat ne barf banaane ki technology sabse pahle bharat ne di hai.

Kaagaj banana sabse pahle bharat ne sikhaya. Bharat me 1 ghaas hoti hai jise san khate hai aur 1 ghaas hoti hai jise mooj kahte hain, mooj teekhi hoti hai , ungli ko kaat ke khoon nikal deti hai. Poore bharat me prachrata se paayi jati hai. Isi ilake me kagaj bananaaa shuru hu asun aur mooj ki ghaas se . ye kaagaj banana aaaj se 2000 sal pahle shuru hua. Cheen ke dastavej se yah baat pata chali ki unhone kagaj banana bharat se seekha.

Isi tarah se duniya me sabse pahle battery / dry cell bharat me bani. Aur dry cell banane ki vidhi jo adhunik vigyan neb hi sweekar kar rakhi hai wo mahrishi Agastya dwara di gayi hai . Mahsrshi ne sabse pahle dry cell banayi thi aur wo agastya-sanhita me di gayi hai. Jis desh ke log cell aur dry cell banana jante hon wo vidut ke bare me bhi jante honge. Kyonki dry cell yahi karta hai, current ke flow ke liye hum uska upyog karte hain, wo alag baat hai ko wo direct current hai aur aaj ki duniya me jo current hum istemal karte hai wo alternative current hai, lekin direct current ki jankari agar duniya ko hui to wo mahrshi agastya ne hi di hai,

Isi tara duniya me sabse pahla SIKKA bharat me bana. Sandhu ghati ki sabhyata me 3000-3500 hazar saal pahle ki sabhyata hai usme sikka dhalaayi ke kai karkhane mile hai. Isi tarah se jasta/zink banana sabse pahle bharat me sikhaya gay. 13 shatabdi me bharat me 1 pustak likhi gayi uska naam tha RASRATN-samuchchy us pustak me zink banaane ka vistart se varnan hai. PARA/mercury banana jo sabse mushkil hai use banaane ka vistrat varnan charak sanhita even rasratnsamuchch me varann hai aur

Duniya me sabse pahle baarood bharat me bana per uska istemal hua fuljhadi banaane me. Lekin uska bomb nahi banaaya kyonki hum anhuinsa wale log ahin. Duniya ne humse baarood banana seekh kar bom banaya aur humi per istemal kiya.

12) KRISHI KE KSHETRA ME

Page 14: Vishw Ko Bharat Ki Den

Duniya ka sabse pahla upkaran Pahiya/wheel ka awishkaar bhaarat me hua. Duniya ka 1st krish upkaran HAL 1 fal wala (ekfara), 2 fal wala(dufara), 3 fal wala (tefara) ye teeno tarah ke bharat me bane.

Hansiya, hathoda, khurpi, kurpa saikado krishi upkaran bharat me bane kyonki krishi sabse pahle bharat me shuru hui. Beej bone ki 1 khas padhdhati hoti hai 1 hi line me beej bona, ye bharat ne di hai. Uske liye yantra banaya jise drill plow (drill pavitr) kahte hain wo sabse pahle bharat me bana.

Dhan ka beej pahle ropa jata hai, us paudhe ko ukhadkar dusari jagah pratyaropit kar dena taki khet ka nuksan kam ho ye padhdhati duniya ko bharat ne di . sari duniya me isis tarike se 155 desh dhaan ka utpadan karte hain

Sari duniya ko janvar ke mal-mootra se keetnashak.ghaad banana a bharat ne sikhaya.

13) PARAVIDYA KE KSHETRA ME

Yadi hum paravidya me chale jayen to wo to poora-2 humne diya hai. Sare dharmo ka pradurbhav yahin se hua hai.