amil aur amal.pdf

20
www.ruhaniamals.blogspot.com [email protected]

Upload: amil-wasim-ali

Post on 18-Dec-2015

310 views

Category:

Documents


17 download

TRANSCRIPT

  • www.ruhaniamals.blogspot.com [email protected]

  • AMLIYAT KE POSHEEDAH RAAZ

    RAAZ-1: AMAL HAMESHA BA 'WUZU KARNA CHAIAY BE' WUZU AMAL BE'ASAR HOTA HAI, AMAL KAMIL YAKSOOYE K SATH AUR MUKAMMAL TANHAYE MEI KARNA CHAIAY.

    RAAZ-2: DORAN-E-AMAL BE'YAQEENI WASWAS-E-SHETANI AUR KHAYALAT-E-FASIDAH SE KHUD KO MEHFOOZ RAKHEN AGAR AMAL PER KISI TARAH KA DIL MEI SHAK HO TO AMAL KO CHORR DE JAB TAK K YAQEEN-E-KAMIL WA QALB NA HASIL HO JAYE.

    RAAZ-3: JIS KAMRAY MEI AMAL KIYA JAYE WAHAN SAMAN BILKUL BHI NA HO KAMRAH JIS QADAR KHALI HO GA AMAL KI KAMYABI K USI QADAR AMKANAT HON GE AUR KAMRAY MEI DORAN-E-CHILLA DOSRA KOYE SHAKHS AAMAD-O-RAFT NA RAKHAY.

    RAAZ-4: JO BHI AMAL KIYA JAYE US MEI TADAD K SATH SATH SAHEE TALAFFUZ KA KHAYAL RAKHAY AGAR SEHAT-E-ALFAZI KO NAZAR'ANDAZ KAR K AMAL KIYA JAYE TO KAMYABI HARGIZ NAHI HO GE.

    RAAZ-5: AMAL SE PEHLE 2 NAFALEN ZAMEEN PER ADAA KARY KISI CHATAYE YA ZAMEEN PER NAHI WARNA PHIR KHAJOOR KI CHATAYE PER ADAA KARAY AUR ALLAH SE AMAL KI KAMYABI KI DUA KARE , AMAL AUR DUA KA CHOLI, DAMAN KA SATH HAI.

    RAAZ-6: AMIL MEI HABS-E-DAM KI SALAHIYYAT HONI ZAROORI HAI AIK SAANS MEI ZEYADA SE ZEYADA AMAL PARRHNE SE KAMYABI K AMKANAT ZEYADA ROSHAN HO JATAY HEN.

    RAAZ-7: DORAN-E-AMAL BE'WAJA APNE JISAM MEI HARKAT NA AANAY DE JIS QADAR SAQAT RAHE GA USI QADAR FAYEDAH HO GA.

    RAAZ-8: AMAL K DORAN PARHEZ JALALI YA JAMALI ZAROOR KARE KHANAY PEENAY KI CHEEZEN APNA ASAR ZAROOR DIKHATI HEN IS LIAY KHANAY PEENAY KI CHEEZON MEI KHAS TOR PER PARHEZ ZAROORI HAI , BADBOO'DAR CHEEZON SE PRYAZ,LEHSAN,TAMBAKOO WAGHAIRAH SE MUKAMAL IJTENAB BARTE.

  • RAAZ-9: AMAL KOYE AIK WAQT MUQARRAR KAR K SHURU KARE AUR AAKHEER TAK WAQT KI PABANDI RAKHAY IKHTELAF-E-WAQT AMAL K ANDER KAMZORI PEDA KARTA HAI.

    RAAZ-10: AMAL MEI JAGAH KA TA'AYYUN BHI ZAROORI HAI KISI DIN KISI JAGAH AUR KISI DIN KISI JAGAH AMAL KARNE SE AMAL KI TASEER KHATAM HO JATI HAI.

    RAAZ-11: AAYT-UL-KURSI , S.AL-BAQARAH KA AAKHRI RUKU AUR 4 QUL SHARIF KI TELAWAT KARE APNA HISAR KAR K AMAL SHURU KARE AUR DORAN-E-CHILLA AMAL KI SHURUA'AT ISI TARAH KARAY.

    RAAZ-12: AMAL K LAWAZMAT PEHLE HE SE AKHTAY KAR LE MASLAN BEGHAIR SILA LIBAS , KHAJOOR KI CHETAYE, MATTI KA CHARAGH, TILON KA TAIL, ITTER WA BAKHOORAT, AUR PANI K LIAY MATTI KA LOTA MATTI KA HE PEYALA , KOYELA KI ANGEETHE AUR MACHIS WAGHIRAH JESI LAWAZMAT-E-AMAL PEHLE SE HE TAYAR KAR LE AUR BA'PARHEZ GHIZA BHI.

    RAAZ-13: JO CHEEZEN DORAN-E-CHILLA ISTEMAL KARNI HEN WOH BHI AIK HE BAR LE AAYE AUR KOSHISH KARE K KISI MUSHRIK YA BIDDA'ATI SE YEH CHEEZEN NA KHAREEDA. RAAZ-14: DORAN-E-CHILLA ROZANA KUCH NA KUCH KHERAT KARE AUR KUCH NA KUCH ALLAH K BANDO KI KHIDMAT KARE KHIDMAT BA'ZARIYA MAAL BHI KARNI CHAHIAY AUR BA'ZARIYA JAN BHI. RAAZ-15: BA'MOAKEL AMAL MEI KISI SAHIB-E-AMAL YA KISI AMIL KAMIL SE IJAZAT LENI ZAROORI HAI IJAZAT HASIL HONE K BAD HE AMLIYAT KA AAGHAZ KARE. RAAZ-16: CHILLA K DORAN ROZANA ROZA RAKHE AGAR YEH MUMKIN NA HO TO HAR PEER AUR JUMERAT KA ROZA RAKHAY YEH BHI MUMKIN NA HO TO HAR JUMERAT KA ROZA ZAROOR RAKHAY HAFTAY MEI AIK ROZA ZAROORI HAI. RAAZ-17: ROZANA GHUSAL KARNA BHI ZAROORI HAI , MOSAM SARMA HO TO GARAM PANI SE GHUSAL KARE , AFZAL YEH HAI K GHUSAL KAR K HE ROZANA AMAL KARE. RAAZ-18: DORAN-E-CHILLA KAM UMAR LARRKON AUR AURTON SE NA MILA KARE WARNA AMAL K ZAYA HO JANAY KA KHATRA RAHE GA AUR RUJJAT K BHI AMKAN HAI. RAAZ-19: AMAL KARTY WAQT QIBLA RU BETH KAR AMAL SHURU KARE PHIR FORAN HE RIJAL-UL-GHAIB KI SIMT KA KHAYAL KAR K APNA RUKH BADAL LE AGAR RIJAL-UL-GHAIB KI SIMTON

  • KA LIHAZ NAHI KARAY GA TO AMAL ZAYA HO JAYE GA. RAAZ-20: AKSAR YEH HOTA HAI K PEHLE CHILLA MEI TASEER ZAHIR NAHI HOTI , ALLAH NA KARAY AGAR PEHLE YA DOSRAY CHILLA MEI NAKAMI MILAY TO TEESRI BAR PHIR KARE TEESRAY CHILLAY MEI BIL'AMOOM KAMYABI MIL JATI HAI. RAAZ-21: APNE KHANE PEENE K BARTANO KO KISI KO HATH NA LAGANAY DE KHUD HE IN KO DHOYE KISI AURAT K HATH KA KHANA NA KHAYE BEHTER HAI K KHUD HE KHANA PAKAYE. RAAZ-22: AMAL AROOJ MAH MEI SHURU KARE NO'CHANDI JUMERAT KO SHURU KARE TO BEHTER HAI. RAAZ-23: IS BAT KA BHI LEHAZ RAKHE JIS DIN AMAL SHURU KAR RAHA HO US DIN CHAND BURJ AQRAB MEI NA HO YANI QAMAR DAR AQRAB NA HO. RAAZ-24: AMAL SUFED YA SABAZ RANG K BEGHAIR SILAY LIBAS MEI KARNA CHAHIAY. RAAZ-25: AMAL K DORAN HAR SITARE SE MUTALQA BAKHOOR KI DHONI LENI CHAHIAY AUR SITARON KA CHART AMIL KO HAR WAQT APNE PAS RAKHNA CHAIAY ISI TARAH SITARON K BAKHOORAT KI SHEESHIYAN BHI HAR WAQT AMAIL KO KAMRAY MEI RAKHNI CHAHIAY. RAAZ-26: HISAR K DAAYERAY MEI AIK PAK MATTI KI KACHI EENT TAYAMMAM K LIAY RAKHNI CHAIAY AGAR WUZU TOOT JAYE TO TAYAMMAM BA'NEYYAT AMAL KAR LENA CHAHIAY. RAAZ-27: KAMRAH-E-AMAL MEI MATTI K TAIL KA CHARAGH HARGIZ HARGIZ NA JALAYEN , NIGHT BULB JALA SAKTAY HEN LEKIN AFZAL YEH HAI K SARSON YA TILON K TAIL SE MATTI KA CHARAGH ROSHAN KAREN, RAAZ-28: AMAL KO KAMYABI SE HAMKINAR KARANE K LIAY 3 BATEN BUNYADI HESSIYAT RAKHTI HEN , KAM KHANA, KAM BOLNA, KAM SONA, LOGO SE KAM SE KAM MULAQAT KAREN TA K KAM SE KAM ZUBAN KHULNE KI NOBAT AAYE ZUBAN SE MUTALIQ JO GUNAH HOTAY HEN UNHEN CHORR DENA LAZMI HAI WARNA AMAL BE'ASAR RAHE GA, ZUBAN SE MUTALLIQ GUNAH YEH HEN JHOOT,GHEEBAT,TANZ-O-TAHQEER,LA'AN TA'AN, WAGHAIRAH IN GUNAHON MEI AGAR AMIL KI ZUBAN MULAVVIS RAHE GE TO IS KA AMAL KAMYABI SE HAMKINAR NAHI HO GA. RAAZ-29: LAZZAT AMEZ CHEEZON SE KHUD KO BACHAYEN LAZEEZ CHEEZEN ZEYADA MIQDAR MEI KHAYE JATI HEN AUR JAB MEDAH GHIZA SE BHAR JATA HAI TO PHIR INSAN PER GHANOODGI AUR NEEND KA GHALBA HO JATA HAI AZAA SUST PARR JATAY HEN AUR GES BAN'NAY K IMKAN PEDA HO JATAY HEN IS LIAY GHIZA AISE ISTEMAL KARNI CHAHIAY JO ZINDAH REHNAY K LIAY KAFI HO AUR GHIZA BARAYE NAME LENI CHAHIAY TA K AZAA PER SUSTI KA GHALBA NA RAHAY AUR NEEND NA AAYE AKSAR AAMILEEN DORAN-E-AMAL SATTU

  • ISTEMAL KARTAY THAY YA DAAL KA PANI PEETAY THAY ISI TARAH KI HLKI PHULKI GHIZA LENI CHAIAY AUR YEH BHI PET BHAR K NA HO. RAAZ-30: JIN AAMAL MEI TARK-E-HEWANAT KI QAID HO UN AAMAL MEI KOYE AISE CHEEZ ISTEMAL NAHI KARNI CHAIAY JO KISI JANWAR SE MUTALLIQ HO MASLAN CHAYE NAHI PEENI CHAIAY KEON K IS MEI DOODH DALTA HAI AUR DOODH JANWARON K THANO MEI SE NIKALTA HAI , GHARRI KA PATTA CHAMRRY KA NA HO, JOOTA CHAMRRAY KA NA HO, KEON K YEH CHEEZEN JANWARON KI KHAL SE TAYAR HOTI HEN. RAAZ-31: AMLIYAT K DORAN PHALON KA ISTEMAL BHI NAHI KARNA CHAHIAY ISI TARAH KISI LAKRRI KI CHEEZ BHI ISTEMAL NA KAREN DARAKHTON SE MUTALLIQ SIRF KHAJOOR KI CHATAYE KI IJAZAT HAI WARNA DARAKHTON KO JANWARON KI MISAL SAMAJHNA CHAIAY. RAAZ-32: DORAN-E-CHILLA AMIL KO CHAHIAY K WOH KISI CHOTAY SE CHOTAY JANWAR KA BHI KHOON NA KARE MASLAN MAKHI AUR MACHAR KO BHI MARNE SE AMAL BE'ASAR HO JAYE GA NEEZ NAKHUN KAT'TAY WAQT IS BAT KI EHTEYAT RAKHAY K KHOON NA NIKLAY AGAR AMIL K JISAM K KISI BHI HISSA SE KHOON NIKAL GEYA TO BHI AMAL BEKAR HO JAYE GA. RAAZ-33: AMAL JARRAY KI SARD RATON MEI KARNA CHAIAY , IN RATON MEI YAKSOOYE ZEYADA HOTI HAI RATEN BHI LAMBI HOTI HEN AUR HASHRAT-UL-ARZ SE BHI INSAN MEHFOOZ REHTA HAI. RAAZ-34: AMAL K DORAN TADAD K SATH SATH AMIL KO CHAIAY K WOH YAKSOO RAHE DHEYAN APNA IDHAR UDHAR NA LEJAYE TADAD MEI KISI QADAR KAMI BESHI BHI GAWARAH HO GE LEKIN SEHAT-E-ALFAZI K SATH ROZANA AMAL KI TAKMEEL ZAROORI HAI. RAAZ-35: HAR AMAL SE MUTALLIQ DUROOD HOTA HAI AGAR WOH YAD NA HO TO DUROOD-E-IBRAHEEMI KO TARJEEH DEN AWWAL WA AAKHEER DUROOD SHARIF PARRHNA ZAROORI HAI WARNA AMAL MEI NORANIYAT PEDA NAHI HO GE. RAAZ-36: AMIL KO CHAHIAY K AISE AMAL KO TARJEEH DE JO ZEYADAH SE ZEYADAH 4 GHANTAY MEI PURA HO JATA HO KEON K US SE ZEYADAH DAIR MEI PURI HONE WALI TADAD AMIL K LIAY MASLA BANTI HAI AUR US KI ZUBAN LARR'KHARRANE LAGTI HAI. RAAZ-37: JO BHI AMAL KAREN US KO PEHLE BILA NEYYAT 3 DIN TAK BATOR-E-TAJARBA KAR K DEKHEN K AMAL KITNI DAIR MEI PURA HO RAHA HAI US K BAD BA'QAYEDAH CHILLAY KA EHTAMAM KAREN. RAAZ-38: AMIL KO CHAHIAY K AMAL SE PEHLE TAAZAH GHUSAL K BAD NAYA PASANDEEDAH YA SUFED LIBAS PEHAN KAR 2 NAFAL NEMAZ PARRHAY AUR ALLAH SE APNE AMAL KI KAMYABI KI DUA KARE.

  • RAAZ-39: AMAL SE PEHLE KAMYABI AUR APNI DUA KI QABOOLIYAT KA MUKAMMAL YAQEEN DIL MEI HONA CHAHIAY SHAK WA BE'YAQEENI YA BE'ITMENANI AMAL KI NAKAMI KA SABAB BANTI HAI. RAAZ-40: AMAL K PEHLE DIN AUR AMAL K AAKHRI DIN KAM SE KAM 3 AADMIYON KO PET BHAR K KHANA KHILANA CHAHIAY ZEYADAH SE ZEYADAH APNI WUSSA'AT K MUTABIQ LEKIN TADAD TAQ RAHE TO BEHTER HAI, KHANA KHILANA ALLAH KO PASAND HAI IS LIAY IS KI BARKAT SE AMAL MEI NOORANIYAT PEDA HOTI HAI. RAAZ-41: AMIL KO CHAHIAY JIS USTAD KI REHNUMAYE SE YA JIS KITAB K ISTEFADAH SE YA JIS BUZURG KI DUA SE YA JIS AMIL KI SARPARASTI MEI WOH APNA AMAL SHURU KARAY YA JARI RAKHAY US KI DIL SE QADAR KARNI CHAHIAY AUR UN K LIAY DUA-E-KHAIR KARNI CHAHIAY JO AMIL IS FARMOLAY PER AMAL KARTA HAI US KO ALLAH PAK MAQASID-E-HASANA MEI KAMYABI ATA KARTY HEN AUR US KI IZZAT WA MAQBOOLIYAT MEI DIN BA DIN IZAFA HOTA HAI. ROOHANI AMLIYAT K YEH TAMAM SAR'BASTA RAAZ UN TAMAM HAZRAT K LIAY YAKJA KAR DIAY GAYE HEN JO IN ZIMMADARIYON KO ADAA KARNE K AEHAL HON AUR JO MEHNAT-O-REYAZAT SE KAMYABI HASIL KARNA CHAHTAY HON. RAAZ-42: ROOHANI AMLIYAT MEI ROOHANIYAT KO APNE QALB MEI SAMETNAY K LIAY ZAROORI HAI K AMIL ALLAH K ZIKR SE APNI ZUBAN KO HAMESHA SAR'SHAR RAKHAY AUR AKABIREEN K FARMUDAT K MUTABIQ ZIKR K SILSILAY KO JARI RAKHAY TA K WOH ROOHANIYAT KI DOLAT SE SARFARAZ HO SAKAY , FAN APNI JAGAH HAI AUR FAZL-E-KHUDA WANDI APNI JAGAH, AUR ASAL CHEEZ FAZL-E-KHUDA WANDI HE HAI AUR FAZL-E-KHUDA WANDI KI DOLAT SE AMIL IS WAQT HOTA HAI JAB WOH ALLAH K ZIKR KO AIK KHAS TAREEQAY SE AUR AIK KHAS ANDAZ SE KARAY MASLAN BUZURGON NE FARMAYA K.... * ATWAR K DIN NAMAZ-E-FAJAR K BAD S. ALAM NASHRAH 40 MARTABA PARRHAY AUR MAGHRIB K BAD YA ALLAH 66 MARTABA PARRHE. * PEER K DIN NAMAZ-E-FAJAR K BAD S.FATIHA 40 MARTABA PARRHAY AUR NAMAZ MAGHRIB K BAD YA BASITU 72 MARTABA PARRHAE. * MANGAL K DIN NAMAZ-E-FAJAR K BAD S.AN NASR 40 MARTABA PARRHAY AUR NAMAZ MAGHRIB K BAD YA MUGHNIYU 110 MRTABA PARRHE. * BUDH K DIN NAMAZ-E-FAJAR K BAD S. EKHLAS 40 MARTABA PARRHAY AUR NAMAZ MAGHRIB K BAD YA BASEERU 100 MRTABA PARRHE. * JUMERAT K DIN NAMAZ-E-FAJAR K BAD S.QADAR 40 MRTABA PARRHAY AUR NAMAZ MAGHRIB K BAD YA JALEELU 73 MRTABA PARRHE.

  • * JUMMA K DIN NAMAZ-E-FAJAR K BAD S.QURESH 40 MRTABA PARRHAY AUR NAMAZ MAGHRIB K BAD YA WADOODU 120 MARTABA PARRHE. * SENECHAR(HAFTA) K DIN NAMAZ-E-FAJAR K BAD MA'OOZTEN 40 MRTABA PARRHAY AUR NAMAZ MAGHRIB K BAD YA WAKEELU,YA KAFEELU 100 MRTABA PARRHE. IN'SHAA'ALLAH AZZAWAJAL IN WAZAYEF KI PABANDI SE QALB WA ROOH MEI SAFAYE AUR TAHARAT PEDA HO GE AUR PARRHNAY WALA DOLAT-E-ROOHANIYAT SE SAR'SHAR HO GA.

    AMIL KE FARYEZ AUR ZIMMADARIYAN

    ROOHANI AMLIYAT KI LAYEN AIK MUQADDAS AUR PAKEEZAH LAYEN HAI IS LAYEN SE DILCHASPI RAKHNAY WALAY HAZRAT K LIAY ZAROORI HAI K WOH IS RAH PER CHALNE K ASOOL AUR QAWAYED SE PURI TARAH WAQIF HOUN AIK AMIL K ANDER KYA KYA KHASOOSIYAT HONI CHAHIAY AUR USKO KIN KIN OSAAF SE BEHRA'WER HONA CHAHIAY WOH SAB IS NOTES MEI KHOL DIAY GAYE HAEN YEH NOTES AIK AAYENA HAI AMIL KO IS AAYENE MEI APNI TASWEER DEKHNI CHAHIAY AUR AGAR AAYENA SACH BOL RAHA HO TO USKI SACHAYE KA EHTARAM KARTY HOYE APNI SHAKHSIYAT KI NOK PALAK DURUST KARNI CHAHIAY AAYENE PER TAAO KHANE KI ZAROORAT NAHI ZAROORAT APNE KHAD-O-KHAL KO BEHTER BANANY KI HAI TA K IS RAH PER CHAL KAR AWAM WA KHAWAS KI BEHTER KHIDMAT KI JA SAKAY JAB TAK AMIL APNE ANDER WOH KHASOOSIYAT PEDA NAHI KARE GA JO BUZURGON KA TARKA HEN TAB TAK WOH IS RAH MEI KAMYAB NAHI HO SAKTA AUR NA KISI K KAM AA SAKTA HAI SIRF APNE MAFADAT PURAY KAR LENA KAMAL NAHI KAMAL YEH HAI K HUM SAHEE TREEQON SE IS RAH MEI LOGO K KAM AAYEN AUR YEH USI WAQT MUMKIN HAI K JAB HAM K JAB HAM NE UN FARAYEZ-O-WAJIBAT KO AEHAM SAMAJH LIYA HO JO IS RASTE K AEHAM SUTOON HEN AUR JIN PER AMAL KIAY BEGHAIR "AMIL KAMIL" BAN'NA QATAN NA MUMKIN HAI

    AMIL KE FARAYEZ

    1- RIZQE HALAL KHANE KA PABAND HO AADI HO AUR HARAM CHEEZON SE USAY NAFRAT HO

    2- SACH BOLNA IS KA MIZAJ HO JHOOT BOLNE SE USAY NAFRAT HO

    3- TAHARAT ZAHIRI SE BEHRA'WER HO HAMESHA BA'WUZU REHNE KI AADAT HO

    4- TAHARAT BATINI SE BHI BEHRA'WER HO US K KHAYALAT PAKEEZAH HON NEYYAT USKI SAF SUTHRI HO DIL MEI KHIDMAT-E-KHALQ KA JAZBA HO

    5- ALLAH KI SARI MAKHLOOQ SE MOHABBAT KARNE KA MIZAJ HO KISI AIK MASLAK KA BHOOT US PER SAWAR NA HO BILA TAFREEQ MAZHAB-O-MILLAT LOGO KI KHIDMAT K LIAY HAR WAQT KAMAR BASTA HO

  • 6- LAB-O-LEHJA NARAM HO MAKHLOOQ K DARD KO APNE DIL MEI MEHSOOS KARNE KI SALAHIYYAT HO MAREEZON SE MOHABBAT KARNE KA MIZAJ HO

    7- ALLAH PER EMAN KAMIL HO AUR AUR YEH YAQEEN DIL MEI HO K TAVEEZAT KI HESSIYAT TADBEER KI HAI AUR FANN-E-AMLIYAT KI HESSIYAT HUSN-E-TADBEER KA DARJA RAKHTI HAI LEKIN HUKME KHUDA WANDI AUR IZN-E-KHUDA WANDI K BEGHAIR KISI BHI MUQADDAS KAMYABI KA IMKAN NAHI

    8- AMIL KO KAMYABI KI NISBAT ALLAH KI TARAF KARNI CHAHIAY AUR NAKAMI KI SURAT MEI YEH SAMAJHNA CHAHIAY K IS SE KOYE KOTAHE HO GAYE HO GE WARNA AKABIREEN K TAJARBAT BARHAQ HEN

    9- KHALOOS-E-LILLAHIYYAT SE PURI TARAH SARSHAR HO

    10- AMIL K LIAY ZAROORI HAI K WOH JAB BHI KISI AMAL KI SHURU'AT KARE TO DUROOD SHARIF SE SHURU KARE HAN AL'BATTA MANFI KAMON MEI DUROOD SHARIF NA PARRHE

    11- JIN AYYAM YA SA'ATON MEI AMAL KARY UNKI SA'ADAT WA NAHOOSAT KO PESH-E-NAZAR RAKH KAR AMAL K MAWAFIQ PARHEZ JALALI WA JAMALI KARY AUR SITARON K MUTABIQ BAKHOORAT KA EHTAMAM KARY KHANE PEENE KI CHEEZON MEI KHAS TOR SE ACHI BURI TASEER HOTI HAI IS LIAY KHANE PEENAY MEI ACHI TARAH SE EHTEYAT KARE AUR ZUBAN KO LA'YANI GUFTAGOO SE MEHFOOZ RAKHE

    12- AMIL KO CHAHIAY K MUSBAT NAQSOOH LIKHTAY WAQT BADBOO'DAR CHEEZON SE BACHE AUR MANFI NAQOOSH LIKHTY WAQT IS TARAH KI CHEEZON KA ISTEMAL RAKHE

    13- KISI BHI AMAL KO QABOO KARNE K LIAY JAGAH AUR WAQT KI PABANDI KARNA ZAROORI HAI JAGAH YA WAQT KI TABDEELI SE AMAL KI TASEER WA QUWWAT MEI KAMI PEDA HO JATI HAI

    14- KISI BHI AMAL KO QABOO MEI KARNE K BAD IS AMAL KO KISI NA KISI MIQDAR MEI ROZANA PARRHNA ZAROORI HAI TA K AMAL QABOO MEI RAHE

    15- AMAL K LIAY KISI REHNUMA KI REHNUMAYE ZAROORI HAI AUR JIS KO AMIL APNA REHNUMA YA USTAD TASLEEM KARTA HO US K HUKAM KI THEEK THEEK TAMEEL KARNA ZAROORI HAI

    16- BE WUZU NA KOYE AMAL KAREN NA KOYE NAQSH LIKHEN BIL'KHSOOS WOH NAQOOSH JO AAYT-E-QURANI PER MUSHTAMIL HON UN K LIKHNE SE PEHLE WUZU KARNA ZAROORI HAI

    17- AMIL KO CHAHIAY WOH APNE LIKHAY HOYE NAQOOSH PER KHUD BHI YAQEEN KAMIL RAKHTA HO AUR YEH SAMAJHTA HO K IS K NAQOOSH ILMI AUR FIKRI ETBAR SE AIK ACHI TADBEER KI HESSIYAT RAKHTY HEN AUR IN K ISTEMAL SE ZAROORAT MANDON KO APNE MAQASID MEI BE'IZNILLAH YAQEENAN KAMYABI MIL SAKTI HAI

  • 18-AMIL KO CHAHIAY WOH JIS AAYT QURANI YA ISM KA NAQSH LIKHE NAQSH LIKHNE K BAD US AAYAT YA US ISM KO KAM SE KAM AIK MARTABA PARRH KAR NAQSH PER DAM KAR DE YA PHIR AAYAT AUR ISM ILAHE K MUFRAD ADAD K BARABAR PARRH KAR DAM KAR DE , MASLAN AGAR WOH YA''BASITU'' KA NAQSH LIKHE TO 9 MARTABA YA BASITU KO PARRH KAR NAQSH PER DAM KARY

    19- AAYAT QURANI AUR ISME ILAHE K ADAAD DURUST NIKALE IS MEI AGAR KHATA HO GAYE TO NAQSH DURUST NAI BANE GA AUR JAB NAQSH DURUST NAHI BANE GA TO TASEER ZAHIR NAHI HO GE

    CHILLA KASHI

    KOYE BHI AMIL CHILLA KASHI K BEGHAIR AMLIYAT MEI KAMYAB NAHI HO SAKTA AIK CHILLA AMOOME TOR PER 40 DIN KA HOTA HAI AUR 40 DIN LAGATAR AIK AMAL KARNE SE US MEI TASEER PEDA HO JATI HAI 40 DIN K BAD US AMAL K ANWAR-O-ASAAR AMIL KI ZUBAN WA QALB PER JARI HO JATAY HEN BA'SHART K DORAN-E-CHILLA AMIL SE KISI TARAH KI KOYE KOTAHE SARZAD NA HOYE HO

    CHILLA KASHI KI SHARAYET

    CHILLA KASHI KI SHARAYET YEH HEN,

    1- KISI MUSTANAD AMIL KAMIL KI REHNUMAYE MEI CHILLE KI SHURUWAT KARE APNI AQAL-O-FEHAM KO IMAM BANANY KI GHALTI NA KARE JIS AMIL SE REHNUMAYE HASIL KARE US KI HADAYAT KO PESH-E-NAZAR RAKH KAR AMAL SHURU KARE SABAR-O-ZABT SE CHILLA PURA KARE JALD BAZI K MUZAHIRAH NA KARE NA KISI BE'SABARI KA MUZAHIRAH KARE HATHLE PER SARSON JAMANY KI GHALTI NA KARY APNE WAQT PER KHUD BA KHUD ASRAT ZAHIR HOTAY HEN AUR WAQT-E-MUAYYANA SE QABAL KUCH ZAHIR NAHI HOTA IS LIAY SABAR-O-ZABT NEHAYAT ZAROORI HAI

    2- AMIL K LIAY RIZQ-E-HALAL BEHAD ZAROORI HAI KEON K AGAR PET MEI HARAM ROZI JATI HAI TO PHIR DUA QABOOL NAHI HOTI AUR AMAL MEI TASEER BHI PEDA NAHI HOTI "ROOHANI AMLIYAT" MEI HALAL RIZQ HONA BUNYADI SHART HAI AGAR KOYE AMIL DANISTA AIK LUQMA HARAM KHATA HAI TO 40 DIN TAK USKI EBADAT BHI QABOOL NAHI HOTI DUA KYA QABOOL HO GE AMIL KO YAQEEN RAKHNA CHAIAY K JO ISKI TAQDEER MEI ROZI LIKHI HAI WOH US KO MIL KAR RAHE GE IS LIAY LOGO K SAMNAY HATH PHELANA BHI AMIL K LIAY ACHA NAHI HAI JO HATH BAR BAR LOGO K SAMNAY PHELTA HAI IS HATH KI TASEERAT FANA HO JATI HEN IS LIAY AMIL KO CHAHIAY K WOH BAR BAR K MUTALBE SE KHUD KO MEHFOOZ RAKHE AUR BOHAT HE HIKMAT-E-AMALI , ADAYE BENEYAZI WA KHUDDARI SE IS LAYEN MEI APNA

  • SAFAR JARI RAKHE JO LOG ALLAH K BANDON K SATH LOOT MAR WALA RAH EKHTEYAR KARTAY HEN WOH KISI BHI HALAT MEI "KHADIM" KEHLANE K HAQDAR NAHI HEN

    3- DORAN-E-CHILLA AISE GHIZAON SE DOOR REHNA CHAIAY JO SUSTI KA BAYES BANTI HON IS LIAY TARK-E-HEWANAT MEI GOSHT WAGAIRAH KI PABANDI AAYED KI JATI HAI KEON K GOSHT KHORI SE NEEND KA GHALBA REHTA HAI DORAN-E-CHILLA BEHTER TO YEH HAI AMIL ZINDAGI BAQI RAKHNE K LIAY MAMOOL DARJE KI KHORAK LE PET BHAR K KHANA MUNASIB NAHI

    4- AGAR DORAN-E-CHILLA AKSAR ROZA SE RAHE TO AFZAL HAI

    5- CHILLA KASHI K LIAY KISI AISE JAGAH KA INTEKHAB KARNA CHAHIAY JAHAN MAKHLOOQ KA GUZAR NA HO AUR AMIL KO YAKSOOYE KI JAGAH BETH KAR AMAL KARNA CHAHIAY AAJ KAL CHILLA KASHI K LIAY MUNASIB JAGAH NASEEB NAHI HOTI KEON K AABADIYAN BOHAT BARRH GAYE HEN AUR SHEHRON MEI MAKAN BOHAT CHOTAY HEN IN MAKANO MEI YAKSOOYE HASIL NAHI HOTI AGAR AMIL KISI AISE JAGAH AMAL KAR RAHA HAI JAHAN T.V KI REDIO KI YA KISI BHI TARAH K GAANE BAJANE KI YA LOGO KI GUFTAGU KI AAWAZ AA RAHE HO TO WAHAN AMAL MEI KAMYABI MILNA NA'MUMKIN HAI AAJ KAL MASAJID K KAMRAY BHI SHOR-O-GHUL SE MEHFOOZ NAHI HEN IS LIAY AMAL K LIAY KOYE AISE JAGAH TALASH KARNI CHAHIAY KHAWAH IS K LIAY KAHEEN WEERANE MEI JANA PARRAY JO BILKUL ALAG THALAG HO AUR HAR TARAH KI AWAZON SE WOH MEHFOOZ HO

    6- DORAN-E-CHILLA AMIL KO CHAHIAY APNI ZUBAN KI HIFAZAT RAKHAY JHOOT,GHEEBAT,ILZAM TARASHI KALMAT-E-DIL SHIKNI WAGHERAH SE APNI ZUBAN KO PURI TARAH MEFOOZ RAKHE WARNA AMAL KI TASEER ZAHIR NAHI HO GE

    7- AMAL SHURU KARNE SE PEHLE KUCH NA KUCH SADQA KAR DENA ZAROORI HAI AGAR HAR ROZ SADQA KARTA RAHE TO AUR BHI ACHA HAI

    8- PARHEZ DORAN-E-AMAL ZAROORI HEN AUR BADBOO DAR CHEEZEN JESE KACHA PEYAZ , KACHI LEHSAN WAGHAIRAH K ISTEMAL SE DOOR RAHE

    9- AGAR GHUSAL KARNE MEI KOYE PARESHANI NA HO TO ROZANA TAZAH GHUSAL KAR K AMIL APNA AMAL SHURU KARE WARNA WUZU K SATH AMAL SHURU KARE AGAR AMAL SE PEHLE 2 NAFAL PARRH LE TO AFZAL HAI

    10- DORAN-E-AMAL BAKHOORAT ZAROORI HEN AGAR SITARON K MUTABIQ HON TO BEHTER HAI

    11- DORAN-E-CHILLA KASHI AMIL KO CHAHIAY MAKHLOOQ SE ZEYADAH NA MILA JULA KARE KAM UMAR LARRKO AUR ORATO SE KHUD KO DOOR RAKHE NEEZ DUNIYADAR QISAM K LOGO SE BILKUL NA MILE WARNA IS K AMAL PER IN CHEEZON KA ASAR PARRAY GA AUR AMAL ZAYA HO JAYE GA

    12- AMAL QIBLA RUKH BETH KAR KARE AUR DO'ZANO JIS TARAH NAMAZ MEI TASH'HUD MEI BETHTAY HEN US TARAH BETHAY AUR AMAL KI NEYYAT KARE AUR YEH BHI NEYYAT KARE K

  • YEH AMAL MEI ROZANA ITNI TADAD MEI AUR ITNAY DINO MEI MUKAMMAL KARON GA AGAR AMAL BA MOAKEL HAI TO PEHLE ROZ QIBLA RU BETHAY US K BAD RIJAL-UL-GHAIB KA LEHAZ RAKHTAY HOYE ROZANA APNA RUKH BADALTA RAHE

    13- AGAR AMAL AIK CHILLA MEI KAMYABI NA HO TO DOBARA US AMAL KO KARE AUR HARGIZ HARGIZ MAYOOS NA HO YAQEEN RAKHE K AKABIREEN NE JO TAJARBAT KITABON MEI LIKHAY HEN 100% DURUST HEN IN MEI KISI BHI TARAH KI NAKAMI APNI KISI NA KISI KAMI YA KOTAHE KA NATEEJA HAI AIK AMAL KO NAKAM HONAY K BAD PHIR DOBARA KARE DOBARA BHI NAKAMI HO TO TEESRI BAR KARE IN'SHAALLAH TEESRI BAR ZAROOR KAMYABI MIL JAYE GE

    14- HAR AMAL K SHURU MEI 11 BAR DUROOD SHARIF PARRHE IS TARAH AMAL K KHATAM PER BHI ROZANA 11 BAR DUROOD SHARIF PARRHE DUROOD SHARIF PARRHNE SE AMAL MEI NORANIYAT PEDA HOTI HAI AUR DUROOD PAK KI BARKAT SE DUAAEN AUR AAMAL BARGAH KHUDA'WANDI MEI MAQBOOL HO JATY HEN IS LIAY DUROOD KA EHTEMAM ROZANA AMIL KO KARNA CHAIAY

    15- JIN AMLIYAT MEI BEGHIAR SILA HOWA KAPRRA PEHANA HO UN BEGHAIR SILA HOWA KAPRRA PEHNE YANI EHRAM BANDHE LEKIN AMAL K DORAN HE EHRAM BANDHNA CHAIAY 24 GHANTAY EHRAM MEI REHNE KI ZAROORAT NAHI JIN AMLIYAT MEI BEGHAIR SILA KAPRRA PEHNANY KI SHART NAHI HOTI UN MEI KOYE SA BHI LIBAS PEHAN LEN LEKIN SUFED RANG K LIBAS KO TARJEEH DEN AUR AMAL K DORAN JO LIBAS PEHNEY AMAL K BAD USAY UTAR DEN LEKIN ROZANA US LIBAS KO DHONE KA EHTEMAM KAREN AGAR AMIL APNA LIBAS APNE HATHO SE KHUD DHOYE TO BEHTER HAI

    16- AMIL APNE KHANE PEENAY AUR KHANA PAKANY K BARTEN ALAG RAKHE

    17- AMAL HAMESHA NO'CHANDI JUMERAT SE SHURU KARE BA'SHART K QAMAR DAR AQRAB NA HO QAMAR DAR AQRAB HO TO AGLE MAH KA INTEZAR KAREN

    18- NO'CHANDI JUMERAT US JUMERAT KO KEHTAY HEN JO CHAND KI 3 TAREEKH K BAD AAYE PEHLI JUMERAT AUR NO'CHANDI JUMERAT MEI FARQ HOTA HAI CHAND KI PEHLI, DOSRI YA TEESRI TAREEKH KO JO JUMERAT AAYE GE US KO PEHLI JUMERAT KAHEN GE AUR JO CHAND KI 3 TAREEKH K BAD 14 TAREEKH SE PEHLE JUMERAT AAYE GE US KO NO'CHANDI JUMERAT KAHEN GE ISI TARAH NO'CHANDI ITWAR WAGHAIRAH KO QEYAS KAREN

    19- AGAR KOYE WAEEFA WAQT MUQARRAR PER NA PARRHA JA SAKAY KISI SHDEED MAJBOORI KI WAJA SE TO US WAZEEFA KO NAMAZ-E-FAJAR K BAD SE NAMAZ-E-ZOHAR TAK PARRH LE TA K NAAGHA NA HO LEKIN BOHAT HE SHADEED MAJBOORI MEI IS REYAT SE FAYEDAH UTHAYE KHAWAMAKHA AMAL KO QAZA NA KARY AIK CHILLA MEI AGAR 4 MARTABA SE ZAYED AMAL WAQT-E-MUQARRARAH PER NA PARRHA JAYE TO PHIR WOH BE'ASAR HO JATA HAI

  • 20- DORAN-E-CHILLA AMIL KO CHAHIAY K AAJIZI AUR INKASARI KO MALHOOZ RAKHE LARRAYE JHGARRA, BEHAS MUBAHISA AUR LA YANI BATON SE KHUD KO DOOR RAKHE KEON K YEH BATEN AMAL PER ASAR ANDAZ HOTI HEN AUR IS K SATH AMIL APNE AMAL KO HATTA'AL'AMKAN POSHEEDAH RAKHE IS KA PARCHAR NA KARE

    21- AMIL K LIAY YEH BHI ZAROORI HAI K JIN ZARAYE YA JIN SHKHSIYAT SE ISKO REHNUMAYE AMAL MUYASSAR AAYE HO UMAR BHAR UN ZARAYE AUR UN SHAKHSIYAT KI QADAR KARE AUR DIL SE UN KA EHTARAM KARE

    22- ZIKR-E-ELAHI K SATH FIKR AUR GHOUR-O-GHOZ SE BHI AMIL KO WABASTA REHNA CHAIAY

    23- AMIL KO CHAHIAY WOH HAR HAL MEI HAR SURAT MEI YEH YAQEEN RAKHE K KHDA WADAHU LA SHAREEK K IZN K BEGHAIR IS DUNIYA MEI KUCH NAHI HOTA , JO AMIL YEH SAMAJHTA HAI YA BAWER KARATA HAI WOH CHUTKI BAJATAY HOAY KHUD LOGO KI TAQDEER BADAL DETA HAI TO WOH AMIL NAHI WOH SHETAN HAI

    24- AMIL KO CHAHIAY ALLAH K SAB BANDON SE BILA TAFREEQ MAZHAB-O-MILLAT AUR BILA TAFREEQ MASLAK MOHABBAT KARY AUR UNKI KHIDMAT K LIAY KHUD KO WAQF KAR DE

    25- AMIL K LIAY YEH BHI ZAROORI HAI K ROZANA AAMDANI MEI SE KUCH NA KUCH KHERAT KARTA RAHE AUR ZAKAT WA SADQAT MEI HARGIZ HARGIZ KOTAHE NA KARY IN K ELAWAH ACHA AMIL HAR KHOOBI KO EKHTEYAR KARTA HAI AUR HAR KHARABI AUR BURAYE SE APNA DAMAN BACHATA HAI ISI MEI US KI AAFIYYAT HAI AUR ISI MEI US KI AZMAT HAI

    AAKHRI BAT YEH HAI K AIK ACHAY AMIL KI NEYYAT AAYENAY KI TARAH SAF HOTI HAI JIN AAMILEEN KI NEYYAT KHARAB HO YA JIN KA MAQSAD SIRF DOLAT SAMETNA HO WOH IS DUNIYA MEI MUMKIN HAI KAMYAB HO JAYEN LEKIN AAKHIRAT MEI KHASARE MEI RAHEN GE SOCH-O-FIKAR KI APNI NAZAR KI APNE USTADON KI PURI TARAH HIFAZAT KAREN AUR SHETANO KI CHALON SE GHAFIL NA RAHEN.

    AMIL KE LIYE MAZEED HADAYAT

    ROOHANI AMLIYAT K MEDAN MEI QADAM RAKHNE WALE HAZRAT KO JIN BUNYADI MALOOMAT KI ZAROORAT HAI WOH YEH HEN

    1- ILM-E-ABJAD SE ITNI WAQFIYYAT HO K ASMA-E-ILAHE , AAYAT-E-QURANI, ASMA-E-MUHAMMADI AUR INSANO K NAMO K ADAAD BA'KHOOBI NIKAL SAKTA HO

  • 2- MAJMOOYE ADAAD, MURAKKAB ADAAD AUR MUFRAD ADAAD NIKALNE KI MAHARAT HO

    3- HAROOF-E-QAMRI AUR HAROOF-E-SHAMSI AZBAR HON AUR UN K ADAAD BHI AZBAR HON

    4- ABJAD-E-QAMRI MEI 'GHAYEEN'' K ADAAD AIK HAZAR 1000 HOTAY HEN AUR ABJAD-E-SHAMSI MEI 'YAA'' K ADAAD AIK HAZAR 1000 HOTAY HEN

    5- IS K ELAWAH KUL ABJADEN 28 HEN UN SAB ABJADON SE AIK AMIL KO WAQIF HONA CHAHIAY AUR UN K ADAAD SE BHI AMIL KO WAQIF HONA CHAHIAY

    6- MAHIREEN-E-JAFAR NE MOAKEL BANANY K MUTADID TAREEQAY DARYAFT KIAY HEN AMIL KO MOAKEL BANANY K TAREEQON SE BA'KHOOBI WAQFIYYAT HONI CHAIAY

    7- AZEEMATEN BHI AKABIREEN SE MANQOOL LEKIN AMIL K ANDER ITNI SALAHIYYAT HONE CHAHIAY K WOH HASB-E-ZAROORAT AZEEMAT KHUD TAYAR KAR SAKE

    8- ISI TARAH AWAN, KHALEEFA, JIN, WAGHIRAH BANANY KI TARKEEB BUZURGON SE MANQOOL HEN AMIL K ANDERYEH SALAHIYAT HONI CHAHIAY K WOH ASMA-E-ELAHI K MUKHTALIF AAYAT-E-QURANI K AUR MUKHTALIF KALMAT K MOAKEL, AWAN, KHALEEFA, AUR JIN AKHAZ KAR LE AUR PHIR HASB-E-QAYEDAH UN SE ROOHANI IMDAD HASIL KARY

    9- AMIL KO SADQAT , ZAKAT BAKHOORAT WAGHIRAH SE MUKAMMAL WAQFIYYAT HONI CHAIAY

    10- AMIL KO ANASIR-E-ARBA AUR HAWAS-E-KHAMSA AUR ILM E RIJAL'UL GHAIB SE BHI WAQFIYYAT HONA ZAROORI HAI

  • 11- AMIL K LIAY ZAROORI HAI K WOH ILM-E-ADAAD , ILM-E-NAJOOM, AUR ILM-E-SA'AT SE BA'KHABAR HO

    12- ADAD KI DOSTI DUSHMANI HAROOF K ANASIR AUR SA'AT K SAD-O-NEHAS K BARE MEI ZAROORI MALOOMAT HASIL HON

    13- SHRAYET-E-AAMAL AUR AOQAT-E-AMAL MUTAEYYAN KARNE K TAREEQON SE WAQIF HO

    14- AAYAT-E-QURANI K ZARIAY MATLOOBA MAQASID MEI KAMYABI HASIL KARNE K ZARAYE AUR TADABEER KI MALOOMAT RAKHTA HO

    15- AQAYED PUKHTA HON, ALLAH KI WAHDANIYYAT PER KAMIL YAQEEN HO

    HUZUR NABI KAREEM SAL'ALLAHO ALEHE WA SALLAM KI AZMAT-O-RIFA'AT K EHSAS SE QALB-O-NAZAR PURI TARAH SARSHAR HON AUR DUROOD PAK KI ZAROORAT WA AEHMIYYAT KA PURI TARAH ANDAZAH RAKHTA HO

    16- ZAHIRI WA BATINI TAHARAT KA HAMIL HO

    17- AMIL K LIAY BEHTER TO YEH HAI KITAB ALLAH KI KA HAFIZ HO WARNA AMIL K LIAY ZAROORI HAI CHAND SURTEN SAHEE SAHEE TALAFFUZ K SATH YAD KAR LE

    MASLAN, S.YASEEN, S.REHMAN, S.MUZZAMMIL, S.MULK, 4 QUL SHARIF, AAYAT UL KURSI, S.ALBAQARA KI AAKHRI AAYAT WAGHERAH IN SAB K ELAWAH ALLAH TA'ALA K 99 SIFATI NAME AMIL KO YAD HON AUR UN K ADAAD AUR MA'ANI BHI AMIL KO MALOOM HON

    18- AMIL K LIAY ZAROORI HAI USKO NAQSH BHARNE K TAMAM TAREEQON SE WAQFIYYAT HO AUR AMIL DORAN-E-AMAL NISHIST WA BARKHAST K ASOOLON SAY BHI PURI TARAH WAQIF HO

    19- AMIL KO MUKHTALIF QISAM K DUROOD BHI YAD HONE CHAIAY KEON K BAZ UMOOR MEI BAZ DUROOD BOHAT MUFEED AUR MOASSER SABIT HOTAY HEN

  • 20- AMIL K LIAY YEH BHI ZAROORI HAI K WOH INSANI NAMO K MA'ANI SE WAQFIYYAT RAKHTA HO AUR UN K ADAAD NIKALNE KI BHI US MEI BHARPOOR SALAHIYYAT MOJOD HO

    21- HAR AMIL KO CHAIAY K WOH S. YASEEN K IBTEDAYE CHILLON SE GUZAR CHUKA HO JO US KO RUJJAT AUR INQALAB-E-AMAL SE MEHFOOZ RAKHTAY HEN

    22- AMIL KO CHAHIAY HISAR BANDHNE AUR IS K TAREEQON SE WAQIF HO AUR HISAR QATBI KI IS NE ZAKAWT ADA KAR RAKHI HO IS K ELAVAH AMIL KO HIZB-UL-BEHAR KI ZAKAWT BHI ADAA KARNI CHAIAY NEEZ CHEHAL KAF , AAYAT-E-QUTAB, AAYAT-E-HIRS WAGHAIRAH KI ISKO MUKAMMAL JANKARI HO IS NE ZAKAWT BHI ADAA KAR RAKHI HO 23- ASHAB-E-KEHAF K NAAM BHI ROOHANI AMLIYAT MEI BOHAT AEHMIYYAT RAKHATY HEN AMIL KO CHAHIAY INHEN YAD KAR LE AUR IN SE BHI ISTEFADAH HASIL KARE

    AMIL KE LIYE MAZEED WAJIBAT

    * AMIL K LIAY YEH BAT BHI LAZIM HAI K CHILLA KASHI K DORAN WOH APNE BISTER PER KISI AUR KO NA SONAY DE AUR NA HE WOH KISI K BISTER PER SOYE APNE ISTEMAL K BARTAN WAGHAIRAH KO BHI KISI DOSRE KA HATH NA LAGNE DE AUR NA HE DOSRON K BARTANO KO ISTEMAL KARE KEON K HAR INSAN KI APNI ZATI ZAROORIYAT HOTI HEN AUR JAB BHI KOYE INSAN KISI CHEEZ KO HATH LAGATA HAI TO SIRF ISKO CHOO LENAY SE BHI USKI SHAKHSIYAT KI KHOOBI US CHOOYE HOYE SHAY MEI PEDA HO JATI HAI IS LIAY MAHIREEN NE IS BAT KI SAKHT TAKEED KI HAI K DORAN-E-AMAL NA KISI KA ISTEMAL SHUDAH SAMAN KHUD ISTEMAL KARE AUR NA HE APNA SAMAN KISI DOSRE KO ISTEMAL KARNE DE

    * CHILLE K DORAN HAR AMIL K LIAY ZAROORI HAI K WOH ZAHIRI AUR BATINI DONO TARAH KI TAHARATON KA KHAYAL RAKHE JHOOT,GHEEBAT,BAD'NAZRI WAGHAIRAH SE KHUD KO MEHFOOZ RAKHE TA K BATINI TAHARAT SE MALA MAL RAHE AUR ZAHIRI TAHARAT KA BHI HAR LAMHA EHTEMAM KARE MASLAN HAR WAQT BA'WUZU RAHE AUR BILA NAGHA GHUSAL KARE AGAR MUMKIN HO TO DORAN-E-CHILLA ROZAY SE RAHE WARNA HAR TEESRE DIN ROZA RAKHE YEH BHI AGAR KAMZORI KI WAJAH SE MUMKIN NA HO TO HAR PEER AUR JUMERAT KA ROZA RAKHE AUR AMAL K PEHLE AUR AAKHRI DIN GHUSAL KARE

  • * DORAN-E-AMAL AGAR ROZANA EHRAMI LIBAS PEHNE TO IS SE AMAL KI QUWWAT MEI IZAFA HO JATA HAI LIBAS JO BHI HO KHUSHBOO SE MOATTER HO KOSHISH KARE K DORAN-E-AMAL SUFED LIBAS PEHNE SUFED LIBAS HAR QISAM K AMAL K LIAY BEHTER SABIT HOTA HAI WARNA PHIR APNI TAQDEER K SITARE KA JO RANG HO US KI MUNASIBAT SE LIBAS ZEB'TAN KARE

    * AMLIYAT MEI QADAM RAKHNE SE QABAL YEH BAT ZEHAN KI GEHRAYE MEI UTAR LENI CHAHIAY K JIS TARAH DOCTOR AUR TABEEB BAN'NAY K LIAY AIK KHAS MUDDAT TAK TALEEM-O-TARBEYYAT K MUKHTALIF MARAHIL SE GUZARNA PARRTA HAI BILKUL ISI TARAH AMIL KAMIL BAN'NAY K LIAY MEHNAT-O-MUSHAQQAT AUR ILM-O-AMAL KI KAYE MANZILEN TAY KARNI PARRTI HEN WARNA KUCH HATH NAHI LAGTA AUR KABHI KABHI FAYEDAH HONE KI BAJAYE ZABARDAST NUQSAN HO JATA HAI AAJ GALI DAR GALI JO LOG DHONI RACHAYE BETHAY HEN YEH AMIL NAHI HEN MEHAZ PESHA KARNE WALE AUR AIK MUQADDAS FANN KO BADNAM KARNE WALE LOG HEN JINHO NE 2, 4 KITABE PARRH KAR APNI DUKAN SAJA LI AISE LOG KHUDA KI SEEDHE SADI MAKHLOOQ KO ULLU BANANY MEI MASROOF HEN

    * AGAR AAP FIL'HAQEEQAT AMIL BAN'NA CHAHTAY HEN TO PHIR AAP MEHNAT AUR REYAZAT K LIAY TAYAR RAHEN KEON K IS K BEGHAIR AMLIYAT KA MEDAN FATAH NAHI HOTA AUR JO REYAZAT AUR TAQWAY SE JAN CHURATA HO IS KO IS MEDAN MEI QADAM NAHI RAKHNA CHAHIAY KEON K IS MEDAN KA HAQ UN LOGO K LIAY MAKHSOOS HAI JO MEHNAT AUR EBADAT K AADI HON

    YEH BAT YAD RAKHEN,

    1- AMLIYAT AUR NAQOOSH KO KITABON SE JOON KA TOON NAQAL KAR DENA KAR'AAMAD NAHI HO SAKTA JAB TAK BA'QAYEDAH HAR AMAL AUR NAQSH KI ZAKAWT ADAA NA KAR DI GAYE HO AGAR ZAKAWT K BEGHAIR KISI AMAL YA NAQSH MEI TASEER PEDA HO GAYE TO YEH ITTEFAQI BAT HAI AUR KISI ITTEFAQI KAMYABI KO APNA KAMAL SAMAJH LENA NADANI KI BAT HAI

    2- KOYE BHI WAZEEFA PARRHNE YA AMLIYAT KI ZAKAWT ADAA KARNE KI SHURUWAT KARNE SE PEHLE UN TAMAM SHARAYET WA QAYOOD KO PESH-E-NAZAR RAKHNA CHAIAY JO HAR AMAIL K LIAY ZAROORI HEN , MASLAN TAHARAT KA EHTAMAM , EBADAT KA ELTEZAM, KHIDMAT-E-KHLAQ KI PABANDI, SACH BOLNE KI AADAT, HALAL ROZI HASIL KARNE KI FIKAR,

  • NEYYAT KI SAFAYE AUR KHUDA KI KUL MAKHLOOQ SE MOHABBAT KARNE KA JAZBA WAGHAIRAH, IN OSAF K BEGHAIR AMIL BAN'NA NAMUMKIN HAI

    3- KISI BHI AMIL KO KOYE AMAL KISI KO NUQSAN POHANCHANE K LIAY NAHI KARNA CHAIAY WARNA ROOHANI TOR PER FAYEDAH KI BAJAYE NUQSAN HO GA MUA'ALIJ SIRF ZINDGI BACHANE KA KAM KARTA HAI KISI KI ZINDGI CHEEN'NAY KI KOSHISH JAB K YEH MUMKIN BHI NAHI MUA'ALIJ KA KAM NAHI MANFI AMAL KARNE WALE AAMILEEN KI DEEN-O-DUNIYA BARBAD HO JATI HAI WARNA IN KA KIYA HOWA INKI OLAD K SAMNE AATA HAI

    4- AMLIYAT SHURU KARNE SE QABAL UN TAMAM TAFSEELAT SE BA'KHABAR HONA CHAIAY JIN KI JANKARI HAR AMIL K LIAY ZAROORI HAI MASLAN SITARON KI TAFSEELAT , SA'ATON KI JANKARI AUR ILM-E-NAJOOM KI IS HAD TAK MALOOMAT JIS HAD TAK ILM-E-NAJOOM HASIL KARNA SHAR'AN JAYEZ HAI AUR AGAR SA'ATON K SAEED AUR GHAIR SAEED HONE KI MALOOMAT WAGHAIRAH NAHI HO GE TO AMIL KO JAGAH JAGAH DUSHWARIYAN PESH AAYEN GE AUR PHIR WOH IDHAR UDHAR BHATAKNE PER MAJBOOR HO GA

    5- AFZAL TO YEH HAI K AMIL BAN'NAY KA SHOQ RAKHNE WALE HAZRAT HAFIZ-E-QURAN HON LEKIN AGAR HAFIZ-E-QURAN NA HON TO UNHE S.YASEEN,S.MUZZAMMIL,S.JINN,S.FATAH.S.SAFFAT,S.REHMAN ZAROOR YAD HONE CHAHIAY AUR QURAN PAK DEKH KAR SAHEE TALAFFUZ K MUSALSAL PARRHNE KI MASHQ HONE CHAHIAY

    6- IS MEDAN MEI QADAM RAKHNE WALE KO YEH BHI MALOOM HONA CHAIAY K US KA SITARA KONSA HAI USKA MIZAJ KIYA HAI ?

    IS PURI DUNIYA KA NIZAM ACHI BURI SA'ATON AUR SITARON PER MUNHASIR HAI BOHAT SE GHARRIYAN MUBARAK HEN YEHE MAQBOOLIYAT KI GHARRIYAN HEN AUR BOHAT SEE GHARRIYAN GHER MUBARAK HEN YEH ADAM MAQBOOLIYAT KI GHARRIYAN HEN HAD YEH HAI K BAZ GHARRIYAN AISE BHI HEN K IN MEI KHUDA KO SAJDAH KARNA BHI JAYEZ NAHI HAI JAB K DIN RAT MEI BAZ GHARRIYAN AISEE BHI HEN BIL'KHASOOS AAKHRI SHAB KI SA'ATEN K UN MEI HATH UTHTAY HE DUA QABOOL HO JATI HAI JAB YEH TAMAM BATEN AQEEDATAN DURUST HEN TO PHIR GHER MUBARAK SA'ATON SE AMLIYAT KI SHURUWAT MEI EHTEYAT BARATNA HARAM QARAR NAHI PAA SAKTA

  • BESHUMAR LOG NADANI MEI YA NA'WAQFIYYAT MEI AMLIYAT MEI ACHI BURI SA'ATON KA LEHAZ NAHI KAR PATAY AUR NAKAM HO JATAY HEN AUR BIL'AAKHIR ROOHANI AMLIYAT SE BAD'ZAN HO JATAY HEN HUM IN SA'ATON KI WAZAHAT IS LIAY KAR RAHE HEN TA K IS RAH PER CHALNE WALE TULABA KI MEHNAT ZAYA NA JAYE YOUN ALLAH TA'ALA QADIR MUTLAQ AUR MUKHTAR-E-KULL HAI AUR WOH APNE BANAYE HOAY QAWANEEEN KA BHI PABAND NAHI HAI WOH CHAHE TO MUBARAK AUR SAEED SA'ATON MEI BHI BIJLIYAN KOOND SAKTI HEN AUR WOH CHAHE TO NA'MUBARAK AUR MANHOOS GHARRIYON MEI BHI REHMATEN BARAS SAKTI HEN IS RAH MEI QADAM RAKHNE SE PEHLE ANDAZAH KAR LEN K AAP KA BURJ KON SA HAI.

    * AMIL AMAL K DORAN QIBLA RUKH BETHAY AUR IS TARAH BETHAY JIS TARAH NEMAZ MEI BETHTA HAI

    * AMAL K DORAN AFZAL HAI K PEHLU BHI NA BADLE PURA AMAL AIK HE PEHLU PER PARRH LE YANI SHURU SE AAKHIR TAK AIK HE ANDAZ BEGHAIR HARKAT K BETHA RAHE LEKIN AGAR AMAL LAMBA HO TO PEHLU BADALNAY MEI KOYE HARJ NAHI HAN YEH YAD RAHE K NISHIST KI IBTEDA AUR INTEHA NEMAZ KI TARAH BETHNE WALI HE HO DARMIYAN MEI KISI AUR TARAH BHI BETHA JA SAKTA HAI LAMBE AMAL SE MURAD JIS MEI NISF GHANTAY SE ZAYED WAQT LAGE

    * AMAL SHURU KARTAY WAQT YEH NEYYAT KARNA K FALAN MAQSAD K LIAY AMAL KAR RAHA HOUN AUR AAJ ITNI BAR PARRHO GA BE'HAD ZAROORI HAI BEGHAIR NEYYAT K AMAL MOASSER NAHI HOTA

    * BEHTER YEH HAI K HAR ROZ AMAL SE PEHLE 2 RAKAT NAFAL BA'NEYYAT ''SALAT-UL-HAJA'' PARRHE AUR JO AMAL KAR RAHA HAI US KI KAMYABI K LIAY DUA'A KARE PHIR APNA AMAL SHURU KARE IS TARAH ''IN'SHAALLAH AMAL KI KAMYABI K AMKANAT ROSHAN HO JAYEN GE

    * DORAN-E-AMAL APNE GIRD MAZBOOT HISAR ZAROOR KAR LE, HISAR KARNE K KAYE TAREEQAY HEN QURANI HISAR SAB SE MOASSER AUR AFZAL HAI

  • * AMAL K DORAN BOHAT SE KHOFZADA MANAZIR SAMNAY AAYEN GE MAGAR UNKI HAQEEQAT KUCH NAHI WOH MEHAZ AMIL KO KHOFZADA KARNY K LIAY HON GE TA K AMIL KHOFZADA HO KAR APNA AMAL PARRHNA TARK KAR DE AISE SURAT MEI KHUD KO QABOO RKHIAY AUR HISAR SE NA UTHE AUR AMAL MUSALSAL PARRHTAY RAHE

    * BAZ OQAT KISI AMAL KI TASEER AIK CHILLA MEI ZAHIR NAHI HOTI AGAR AISA HO TO MAYOOS NA HO AMAL JARI RAKHAY AUR DOSRA CHILLA KARAY AAMILEEN NE FARMAYA HAI DOSRA CHILLA KAM SE KAM 10 DIN BAD YA PHIR AIK MAH BAD SHURU KARE NAKAMI K FORAN BAD HE DOSRA CHILLA SHURU NA KARE

    * MAYOOSI KUFAR HAI MOMEN KABHI MAYOOS NAHI HOTA AMLIYAT KA QILLA SAR KARNE K LIAY ZAROORI HAI K TAMAM HALAT MEI KHAWAH BAZAHIR KITNAY HE MAYOOS KUN HALAT HON AAS KA DAMAN NA CHORRAY ALLAH PER BHAROSA RAKHAY AUR CHEYUNTI SE EBRAT HASIL KARTAY HOYE APNI DHUN MEI LAGA RAHE AUR YAQEEN RAKHE AIK DIN WOH BA'FAZAL RAB KAMYAB HO GA AGAR PEHLE CHILLA MEI KAMYABI NAHI HOTI TO DOSRAY YA TEESRAY CHILLA MEI ZAROOR KAMYABI HO GE

    * HAR AMAL SE PEHLE TAAQ TADAD MEI DUROOD SHARIF PARRHNA ZAROORI HAI , HAR AMAL SE MUTALLIQ ALAG ALAG DUROOD SHARIF HEN AGAR WOH MUYASSER NA HON TO DUROOD-E-IBRAHEEMI HE KAFI HAI

    * APNAY KHANAY PEENY K BARTAN KHUD DHOYE AUR INHE KISI KO BIL'KHASOOS KISI AURAT KO HATH NA LAGANAY DE

    * AGAR KISI KHADIM KA TAWWUN ZAROORI HO TO KHADIM NAMAZI AUR PARHEZ'GAR HO

    * AMAL K LIAY AIK HE JAGAH RAHAY AUR WAQT BHI AIK HE RAHE DONO CHEEZON MEI TABDEELI NA HO TO AFZAL HAI

    * AMAL NO'CHANDI JUMERAT SE SHURU KARE TO BEHTER HAI AUR NO'CHANDI JUMERAT AISE JUMERAT KO KEHTAY HEN JO CHAND KI 4 TAREEKH YA US K BAD AAYE AGAR PEHLI YA DOSRI TAREEH KO JUMERAT KO PARRHEN GE TO US KO NO'CHANDI NAHI MANEY GE

  • * WAZEEFA AUR AMAL BILA NAGHA PARRHNA CHAIAY AGAR KISI MAJBOORI YA SHARYE UZR KI BINA PER NA K SUSTI AUR KAHELI KI WAJA SE WAZEEFA TARK KAR DIYA GEYA TO AGLAY DIN ZOHAR K BAD PARRH LE LEKIN TARK KARNAY KO AADAT NA BANAYE YANI AKSAR TARK NA KARAY WARNA AMAL AUR WAZEEFAY KI TASEER KHATAM HO JAYE GE

    * HAR AMAL AUR NAQSH KI ZAKAWT ADAA KARNA ZAROORI HAI , ZAKAWT ADAA KARNE K BAD US AMAL KO ROZANA 3, 7, YA 11 BAR PARRHNA ZAROORI HAI TA K AMAL QABOO MEI RAHE

    * AMAL KI IJAZAT SAHIB-E-AMAL SE LENA ZAROORI HAI WARNA IS K KARNE SE NUQSAN KA ANDESHA HAI

    * JIS ZAMANA MEI AMAL PARRHE PEYAZ WAGHERAH SE IJTENAB KARE DORAN-E-AMAL AGAR MOUN SE BADBOO AAYE TO MOAKELEEN KO TAKLEEF POHANCHAE GE AUR WOH IMDAD KARNE KI BAJAYE DUA KAREN GE IS LIAY BADBOO SE BACHAE AUR KHUSHBOO'DAR RAHE.

    BAQI HAR AMAL K SATH APNI SHARAYET MAKHSOOS HOTI HEN UNKA KHAYAL RAKHA JAYE JIS AMAL K SATH JO SHART RAKHE GAYE HAI US KO PURA KARE US MEI APNI TARAF SE IZAFA YA KAM NA KARE BAL K HAR SHART PER PURA PURA AMAL KIYA JAYE.